Shining and Attractive Eyes

Chamakdar aur Pur Kashish Aankhain:

Aankhon ki ahmiyat aur afadyat say kon inkar kar sakta hai dunya kay rung dhang in hi anmol motiyon ki badolat to dekhtay hain is kay elawah aankhon ko shakhsiyat ka pyambar bhi kaha gia hai kiun keh chamkdar aur pur kashish aankhain hi insane ki achi sehat aur pur sakoon zindagi ki nishan dahi karti hain. Jabkeh aankhon ki bay ro naqi ya phika pan naqis khorak aur dimaghi inteshar ko ayan karta hai.Kia aap janti hain keh aankhon ki beshtar bimaaryan maslan surkh ho jana, nazar kamzor hona, sayah halqay(black circle) parna, palkain girna ya aankhon kay gird jhurriyan(wrinkle) parna waghairah waghairah meyari ghiza, bay khuabi aur mosalsal kaam kay sabab hoti hain. Is silsilay mein motwazan ghiza(balanced diet) bhar poor neend, zehni sakoon aur aankhon ki baqaidah warzish aankhon ki qudrati chamak barqarar rakhnay aur aankhon ki bimaaryon rafa karnay mein muawin sabit hoti hain.
Aankhon ko pur kashish aur basarat ko qawi banana kay liye fresh fruit, milk vegetable ko apnay rozanah menu mein shamil kijye. Vitamin A ziadah say ziadah istemaal karein jo fish, fruit, butter, ghee, aur yellow vegetable mein wafer moqdar mein mojood hai. Is ka matlab yeh har giz nahi hai keh degar vitamin aankhon kay liye mofeed nahi hain balkeh vitamin B2, vitamin C aur vitamin D ka istemaal bhi na sirf aankhon balkeh puray jism ki behtareen nasho numa kay liye bay had zaroori hain kia aap janti hain keh aankhon say pani behnay aur in kay surkh honay ki shikayat vitamin B2 ki kami kay bais paida hoti hai.

Dhoop mein nikalte waqt sunglasses ka istemaal kar liya jaye to is se dhoop ki muzir shoyayon se bacha ja sakta hai.

Jab bhi ghar se bahir jayein ya wapis aayein to chehrah dhone ke sath aankhon par thanday pani ke chinte marein takeh agar dhool mitti ka koi bhi maamuli sa zarrrah aankhon mein chala gia ho to wo nikal jaye.

Is ke elawa ghiza ke hawale se baat ki jaye to nazar teiz karne ke liye be had zaroori hai keh carrot ka juice istemaal kia jaye ya phir kachi gajar khayi jaye. Aisi sabziyan aur phal jo rungat ke aitbar se red hon in ka istemaal aankhon ki sehat aur hifazat ke liye be had mufeed sabit ho sakta hai.

Red color ki sabziyon aur phalon ke elawa green leaves wali sabziyan bhi be had mufeed hain kiun keh in sabziyon aur phalon mein lycopene paya jata hai jo keh khas kar red vegetable jaise tomato, carrot, Pomegranate(anar) wagaira mein kasrat se paya jata hai.

Is ke elawa palak, broccoli, matar aur hare patton wali degar sabziyon mein bhi lycopene zer action paya jata hai jo aankhon ke liye buhat faidah mand hota hai.

Sea food mein salmon fish, tuna fish, macro whale fish aisi hain jin mein kaseer moqdar mein omega 3 fatty acid paye jata hain yeh ankhon ki bimaryon jaise khushki, aankhon ke parde ka mutasir hona, motya aankhon par dhabbon ka namudar hona wagirah se mehfooz rakhte hain.

Is ke elawah aise fruit jin mein vitamin C paya jata ho jaise citrus fruit (kino, narangi, mosammi) strawberry, tomato wagaira mein anti occident khasi moqdar men paya jata hai jo aankhon ke khalyon (tissues) ko sehat mand banane mein madad deta hai.

Vitamin E wali sabziyon ka oil, nuts, anaaj wagairah bhi aanhon ki sehat aur bimaryon ke liye be had faidah mand hai.

Iske elawa aisi sabziyan jin mein vitamin A shamil ho wo bhi aankhon ki sehat ke liye behtareen hain.

Binayi ka khatam hona ziadah tar vitamin A ki kami ke bais hota hai is liye yeh zaroori hai keh apni khorak mein bharpor tariqay se vitamin, minerals, ka istemaal kia jaye.


Aankhon ki sehat aur hifazat ke liye mandarjah zel hidayat par lazmi amal karein:

Dhoop mein nikalne se qabal sunglasses lazmi istemaal karin.

Aisi ghizayein istemaal karein jin mein vitamin C aur a shamil hon.

Taza juice istemaal karein.

Agar nazar kamzor hoto parhte waqt khas kar computer aur TV dekhte waqt nazar ka chashma zaroor lagayein.

Yaad rakhain chalti huyi sawari mein study karnay, buhat ziadah TV dekhnay aur kam roshni mein study karnay say nazar kamzor hojati hai.

Fish (omega 3) aur red leaves wali vegetable aur fruits ka istemaal karein

Baqaidgi se aankhon ka checkup karwayein

Aankhon ko thandak dene ke liye raat ko sone se qabal arq e gulab istemaal karein ya phir khire (cucumber) rakhein is se aankhon ki thakan bhi kam hoti hai aur thandak ka ahsas bhi hota hai.

Kam az kam 8 ghanton ki neend zaroor lein.

Tez shoyaon jaise laser light, welding ki rays ya phir direct suraj ko dekhne se gureiz kijye.

Leit kar parhna bhi aankhon ke liye monasib nahi hai. study hameshah taiz roshni mein karein magar yeh roshni aankhon kay bajaye book par paray.

Smoking, gard ghubar aur aaloodgi bhi aakhon ko motasir kartay hain. Lehaza jis qadar ho in say bachnay ki koshish karein.

Aankhein buhat bari nemat hain is liye in ki hifazat aur sehat ke liye koi kasar na chorein. Zara ahtiyat aap ko bimari se mehfooz bhi rakh sakti hai aur aap ki aankhein sehat mand, roshan rehein gi. 

0 Responses to “Shining and Attractive Eyes”

Post a Comment

All Rights Reserved Health and Beauty