Hands and Nails Care

Hathon aur Nails ki Hifazat:

Kisi ajnabi se pehli bar milein to chehre par nazar parti hai. Phir lebas par tawajjah aap hi aap mabzool ho jati hai. Jab bolne ko aage barhein to hamara ikhlaq aur baat karne ka andaz mutasir ya bor kar skta hai. Lekin jonhi mokammal shakhsiyat par nazar parti hai to hathon aur peron ki jild aur nails par nazar parti hai. Pata chal jata hai keh hum ketne bimar ya sehat mand hain.

Kuch khawateen achi sehat ki malkah hoti hain, woh hathon ke lambe nakhun bhi rakh lein to chaltahai aur isi liye keh woh baqaidgi se meni cure
hand and nails
leti rehti hain ya khood apna kheyal rakhna bakhoobi janti hain lekin agar aap nozaidah bache ki maan hain ya ghariloo khatoon hain to chote nakhoon rakhne hi mein aafyat hain.

Aik Dermatologist Doctor ke kheyal mein khawateen ko saakht mein qadre chote nakhoon rakhne chahiye yeh aasani se saaf bhi ho skte hain aur bawaqt zaroorat aasani se sajaye sanware ja skte hain. Inhein tarashte waqt bezwi shakal dein yani Curve ki shakal mein katein aur kheyal rakhein keh kahin kisi nail ke andar to new nail nahi ugne laga? Agar jild hi ki koi shakal dane ki shakal ki surat mein nazar aane lage to nail ke mahir se ruju kar lein. Fingers ke nails ko sidha tarash kar fawail ke sath bezwi shakal di jati hai jabkeh doosri janib peron ke nails ko intehayi saaf rakhne ki zaroorat hoti hai aur aksar inhi nails ke andar carn bante hain agar peron ke thumbs ke nails chote rakhe jayein to aage se munh band wale joote baasani pehne ja skte hain aur aap har mosam mein anga rung aur fashion ke hathon is qadar majboor hoti hain keh nail nahi tarashtein tkleef leti hain.

Nails kb aur Kaise Tarashe Jayein?

Agar aap aik muddat tak nail nahi tarashtein to aik waqt aisa aaye ga jab yeh khood bakhood toot jaye ga tab aap ka design kharab hoga aur agar aap har doosre tisre hafte Nahane ke baad nails tarashti hain to yeh jismani tor par mazboot hi hoga to behtar yahi hoga keh inhein kmzor parne se pehle tootne se bacha ya jaye.

Filer Sakht ho ya Narm?

Nails ke mahereen ke aik kheyal ke mutabiq steel ke filer ke bajaye narm filers istemaal karna mufeed hota hai. Steel ke filer aap ke nails ko noqsaan puncha skte hain. Jb aap nahane ke foran baad nails tarashti hain to yeh qudrati tor paar nam hote hain is waqt aap ko steel ke filers ki zaroorat hi nahi hoti.

Cuticles saaf kar lein

Agar aap pabandi ke sath hathon aur pairon ka masaj karti hain to in cuticles par aap ki nazar foran parti hain aur aap inhein saaf kar leti hain magar ahtiyat kijye.

Suraj ki ultraviolet shuyaon na sirf chehre balkeh hathon pairon ko bhi itna hi noqsan uthana parta hai lehaza agar chehre ko dhanpne ka ahtamam karti hain to dstanon aur mozon ka intekhab bhi kar lia karein magar is ke liye nails chote hona zaroori hain.
Nails ki safayi aur khas kar nails ki tarash kharash yun bhi ahmiyat rakhti hain kiun keh yahi to jism ke aaza mein hamare liye kar aamad purze hain hamare hathyar hain inhi se hum khana khate hain inhi ki madad se zindagi ke doosre chote bare kaam karte hain yani apne badan ki safayi suthrayi se le kar ghar tak ki safayi waghirah waghirah. To phir jab meni cure padi cure ka waqt aaye to la parwahi ka muzahirah kiun karein. Apni beautyshion se darkhastein kar dein keh meni cure ke liye jetne tools woh istemaal kar rahi hain tamam ko sterllised kar lein warnah hepatitis hone ke khadshe hain is ke elawah bhi degar jildi amraz lahaq hone ke khatrat se bachne ke liye yeh hifazati aqdam karna zaroori hai.

Khabi aisa remover istemaal na karein jis mein moisturizer shamil na ho aur jo aap ke nakhoonon ko aik dam sakht aur khur dura na karde wahi kharidein.

Ghar par Nails ka Masaj Kaise kia Jaye?

Coconut oil ya garam kia hua castor oil nails par lagana mufeed rehta hai, lekin nails polish chutane ke baad in oils mein se kisi aik se masaj karein. Pile ya zard nazar aane wale nails ko lemon se ragarein aur sirf intehayi zaroorat ke waqt nail polish ka istemaal karein. Nails ko bhi jild ke degar masamat ki tarah sans lene ki zaroorat hoti hai. Agar aap hydrogen par oxide ko pani ki kuch moqdar aur lemon ke arq mein hathon ki alag alag rungat nahi rehi gi aur khas kar hathon ki siyahi zail hogi aur jild par ronaq aajaye gi.

Ghar ke Kaam Kaaj mein Dastanon ka Istemaal?
Agar mumkin ho to detergent se kaam karte huye yeh ahtiayati tadabir rawa rakhi ja skti hai. Aap agar hath se kapre dhoti hain to taqatwar bleach aur detergent soap ke hathon ki jild ko barah rast mutasir karein gay is surat mein agar dastane pehne hon gay to kis qadar bachat ho skti hai.

Agar nails barhte hi nahi ya bar bar tootein to?
Mumkin hai aap mein folad ki kami waqa hogayi ho, aap ghizayi be rabtagi ki shikar hon ya motwazan khorak na le rahi hon. Thyroid ki marizah hon ya gurde mein pathri aur pishab ki nali ki sozish ki shikar hon to nails ya to barhte nahi ya bar bar tootne lagte hain is waqt aap ko ziabetis aur jildi amraz ke khadshat ko bhi madde nazar rakhein aur mostand libratory se teste karwa ke mokammal ilaj kar walein.

Aik cunseltent digestion aur nutrition ki raye buhat moqtadar hai jis ke mutabiq pani pina poori jismani sehat ki bahali ke liye be had zaroori hai. ziadah pani pine se nakhun behtar andaz mein barhte hain aur rungat banti hai keh aap sehat mand hain.

Khorak mein amino acid, zaroori feti acid, madanyat aur hayateen ki bhar poor moqdarm mojood hona zaroori hai. Agar hamara tarz e zindagi sehat mandanah ho, calcium, vitamin D, E, A, iron, zink, folic acid aur niacyne mojood hon aur yeh sb aam sabziyon phalon, dalon aur degar anaj mein mojood hote hain inhein khorak ka hissah banate hain to poora jism tqwiyat paye ga aur nails bhi jism hi ka ahum azoo hain in par bhi aap hi aap khushgawar asrat murattab hogay.

Khoobsurti ka talluq sirf chehre hi se nahi hota. Majmuyi taas'sur is waqt acha banta hai jab poori shakhsiyat mokammal nazar aaye. Hathon ki hifazat ke liye mandarjah zel baton par amal karein aur apne hathon ko khoobsurat banayein.


1. Har bar hath (hand) dhone ke baad meiyari hand cream lagani chahiye.

2. Cream mein oil ki moqdar ziadah ho

3. Kitchen mein bartan dhone ke sink ke pas hi kisi bottle mein glasreen aur arq e gulab ka amezah hum wazan bana kar rakh liya jaye bartan dhone ke baad yeh morakkab lagaya jata hai.

4. Nails ka tootna Jharna pani mein ziaddah der rehne ki wajah se hota hai. Is liye pani ke kaam ke doran raber ke dastane(gloves) pehnne cahhiye.

5. Ghusal ke foran baad nails ko emery board se tarashne ki ghalti nahi karni chahiye is waqt nails apni kamzor tareen halat mein hote hain.

6. Kisi taqreeb mein jane se pehle yeh tips aazma kar dekhye kisi bhi lemon cream se hathon ka masaj kijye phir garam pani se dho lein. Glasreen ki mamooli si moqdar mein thori si shakkar mila kar is aameze ko fingers ke poron se le kar wrist tak lagayein phir 2-3 minute baad donon hathon ko ragarye ab garam pani se hath dho lijye. Makhmali hath aap ke samne hon gay.

0 Responses to “Hands and Nails Care”

Post a Comment

All Rights Reserved Health and Beauty