Manicure and Pedicure at home in Urdu

Hathon ki Hifazat(Manicure):

Chehre ke sath hathon aur paon ki hifazat bhi nehayat zaroori hai. Aaj kal chote bare har tarah ke beauty parlour mein manicure aur pedicure ka mokammal intezam mojood hota hai. Agar wasail ijazat dete hon to mahine mein aik bar beauty parlour se yeh khidmaat zaroor hasil karein kiun keh aik mahir beautician apna kaam bakhoobi karne ki peshah war maharat rakhti hai aur agar wasail ijazat nahi de to ghar par manicure ya pedicure kia ja sakta hai.

Nails par lagi huyi purani nails polish ko nail polish removal se mita kar ambry board ya filer se nails ko in ki qudarti shakal mein tarashna chahiye.
Yeh yaad rahe keh nails ko squar ya nokili shakal mein tarashne se in ke jald tootne ka khadsha rehta hai. Bezwi (oval shape) ya gol shakal(round shape) ke nails ziadah paidar aur khoobsurat lagte hain. Is ke baad garam pani mein thora sa shamapoo, detole, chuqandar ke aik do pieces, lemon juice thora sa aur badam ka tail (palm oil) ke chand drop milakar hath dubo ne se sari thakan jati rehti hai aur in ki rungat bhi nikhar jati hai.

10 -15 minute is amal ke baad towel se nails ke ird gird nazar aane wali cuticles ko cuticle cream laga kar masaj kia jata hai phir orange stick ki madad se cuticles ko saaf karna chahiye. Hathon ko khushk kar ke hand cream se masaj ke baad hand scrub se bhi masaj kar ke hathon ko kuch der yunhi chora jata hai.

Ab hand mask lagane ka marhala aata hai mask ke liye multani mitti mein aruq e gulab mila kar bhi istemaal kia ja sakta hai. Jab mask khushk ho utar lia jaye to hathon ko Vaseline se thapthapa kar 15-20 minute ke liye yunhi rehne dena chahiye. Phir bleach cream mein excleter ki munasib moqdar mila kar hathon par lagane se daagh dhabbe madhdhim par jate hain aur hathon ki jild damakne lagti hai.

Pairon ki Hifazat(Pedicure):


Paon ki fingers ke nails ko ambry board se tarashne ke baad garam pani mein 15-20 tak bhigo na chahiye. Pani mein manicure ke liye pani mein milaye gaye ijjza hi shamil kiye jayein gay. Phir cuticle cream ka masaj aur cuticle ko orange stick se piche karne ka marhala aata hai. Ab nails ko tissue paper se saaf kia jata hai. Hand aur feet cream se khushk paon ka masaj, foot scrub, mask, vesline aur bleach ki jaye gi. Agar nails par nails polish lagi hoto pedi cure shuru karne se pehle use nail polish revomal se saaf kar lein.

0 Responses to “Manicure and Pedicure at home in Urdu”

Post a Comment

All Rights Reserved Health and Beauty