Makeup Karne ka Tips

Every woman desired look as heroines. They want to know the secret of makeup. Which products are they use for makeup? All of you surprised to know that they use simple product. It is necessary for make up to pay attention for makeup preparation before make up. You were noticed that heroine and models make up is not heavy instead of their makeup is very light just like natural makeup. Causes of natural face they hide their flaws before makeup, then apply makeup product Expertise as their need. So come to know according to the experts take care of what is necessary to complete makeup.
1. Cleansing
2. Cold your skin
3. It is important to keep the balance.
4. Appropriate use of moisturizer.
5. Hide other flaws.
6. Uniformity of the skin.
Following read of these points in detail in Urdu and Hindi. You can find makeup karne ke tarike, makeup karne ke tarike in hindi, makeup karne ke tips, makeup karne ka tareeqa 

Makeup Karne ka Tarika

Fashion models aur saji bani, paryon jaisi khoobsurat filmi heroine’s ke chehron par kia gia dilkash make up dekh kar aap ke dil mein yeh kheyal to aat a hoga keh is qadar perfect make up ka aakhir kia raaz hai. Lekin yeh jaan kar shayad aap ko hairut hoga keh is ki wajah bilkul sadah si hai. Aur woh hai in ke make up ka be aib hona. Ab sawal yeh paida hota hai keh be aib make up se kia murad hai? To be aib make up karne ke liye zaroori hai keh make up se pehle ki tiyari par bhi tawajjah di jaye. Aap ne ghor kia hoga keh filmi heroine aur models ka make up dekh kar aisa nahi lagta keh inhon ne buhat ziadah make up kia hua hai. Is ke bajaye in ke make up ka tasur natural dekhayi deta hai. Is ka sabab yeh hai keh make up se pehle chehre ki tamam khamiyon ko chupa ya jata hai, is ke baad chehre par make up thopne ke baje intehayi maharut se itna hi make up kia jata hai jetni keh zaroorat ho. Aaiye dekhte hain keh mahereen ki raye ke mutabiq mokammal aur be aib make up karne ke liye, make up se pehle kin kin baton par tawajjah dena zaroori hai.
Cleansing

Make up ki ibteda hamesha cleansing se karein aur agar aap ki jild oily hai to aisa face wash istemaal karein jo aap ke chehre par mojood izafi chiknayi ko utar kar ise saaf suthra bana de. Lekin agar aap kushk jild ki malik hain to jild ko nami punchane wala cleansing istemaal karein.

Jild ko Thandak Punchayein

Make up experts ki raye ke mutabiq make up shuru karne se 15 minute pehle apne cehre par ice cube se masaj karein. Is se chehre ke masamat band ho jate hain aur make up aap ke chehre par tader bar qarar rehta hai. Is ke elawah baraf ke masaj se cherhe ki sujan aur surkhi bhi khatam ho jati hai. Is se aik faida yeh bhi hota hai keh moisturizer jild mein behtar tor se jazb hota hai, jis ke natije mein chehra oily nazar nahi aata.

Tawazan Qaim Rakhna Zaroori Hai.

tawazan aur aitedaal ki, zindagi mein bari ahmiyat hai. khas tor se khane pine min barta gia tawazan hamare chehre se saaf jhalkta dekhayi deta hai. apni masroofyat mein ulajh kar hum aksar pani pina bhool jate hain, jis ke natije mein jild pani ki kami ka shikar ho kar mur jhane lgti hai. lehaza is kami ko pura karne ke liye aisi skin care aur make up products muntakhab karein jin mein PH balance ki khasoosyat mojood hon. Ph se murad power of hydrogen hai jo jild mein nami ki munasib satah barqarar rakhne mein madad deta hai.agar aap ki jild khusk hai to toner, moisturizer aur face wash waghirah aise muntakhab karein jin ka PH level 4-5 ho. lekin agar aap ki jild oily hai to aisi products aap keliye mozon raheingi jin ka PH level 6 ya 7 ho.
Moisturizer ka Munasib Istemaal

jild ki khoobsurti bar qarar rakhne ke liye make se pehle munasib mqdar mein moisturizer ka istemaal buhat ahmiyat ka hamil hai kiun keh yeh jild ki nami qaim rakhta hai, jis ke natije mein aap ka chehra der tak fresh nazar aati hai.moisturizer agar zaroorat se ziadah mqdar mein istemaal kar lia jaye to is se make up jild utarne lagta hai. lekin is ki kam mqdar istemaal karne se aap ke chehre par tazgi aur chamak nahi aati lehaza aap ko is baat ka andaza hona chahiye keh kab aap ko moisturizer ki ketni mqdar istemaal karne ki zaroorat hai. Pehle ise facial ke andaz mein diron ki surat lagayein, phir hathon ko uper ki janib harkat dein.

Jild kiYaksanyat

make up se pehle ki tiyari mein jahan jild ki yaksanyut aur hmwari ka sawal aaye to is ke liye primer se behtar kuch nahi. agar aap ki jild oily hai to oil free primers muntakhab karin. jabkeh khushk jild ke liye hydrating primer ache hote hain. primer chehre ki shiknon, jhurriyon aur khule huye masamat ko is tarah bhar deta hai keh make up ke baad aap ki jild yaksan aur humwar dekhayi detihai. aisa primer jis mein silicone shamil hota hai, chehre ke in bareek masamat ko bhi bari umdagi se bhar deta hai jo aam tor se to nazar nahi aate lekin make up ke baad numayan ho jate hain.is ke elawa yeh jhaiyon aur acne ke nishanat ko bhi chupa deta hai. albattah hassas jild wali khawateen ko wahi primer muntakhab karne chahiye jo in ki jild ki munasbat se behtar ho.

Degar Khamyon ko Chupana

go keh hamare han ki khawateen ko qudrat ki janib se buhat achi jild ata huyi hai lekin in ke bhi behar hal kuch na kuch masail zaroor hain. make up karte waqt jild ki khamiyon ko chupane ke liye tqreeban aik hi jaisi technic istemaal ki jati hai, albattah product ke intekhab mein apni apni jild ki sakht ka kheyal rakhna zaroori hai. chehre ke khule huye masamat hamare han ka aam mslah hain. inhein chupane ke liye pehle WPF wala moisturizer istemaalkarein aur ise lagane ke baad thora waqt dein takeh yeh jild mein jazb ho jaye. is ke baad khule huye masamat ke oper Pore Minimizer lagayein aur set hone dein. foundation ziadah na lagayein aur aakhir mein powder zaroor lagayein. in hission par shamar istemaal na karein jahan masamat khule huye hon. agar aapke chehre par jhaiyan hain to pehle chehre par sun screen lagayein aur is ke baad aisi cream lagayein jis mein vitamin C mojood ho. agar chehre par bareek nasein dekhayi deti hon to inhein chupane keliye aisa serum lagayein jis ka base gulabi ho. jild ki rungat yaksan na ho aur dagh dhabbe nazar aate hon to BB aur CC cream istemaal karein. combination skin ka make up karte huye khawateen ko zara uljhan pesh aati hai kiun keh in ke chehre ke kuch hisse oily to kuch normal ya khusk hote hain.aisi khawateen chehre ke oily hisson par oil free product lagayein, jabkeh khusk ya normal hisson par inhi ki munasbat se products istemaal karein. lekin agar aap ki jild mokammal tor se oily hai to make up kartewaqt met product istemaalkarein takeh baad mein aap ka chehra chikan nazar na aaye. jabkeh khusk jild wali khawateen chehre ki moisturizering par tawajjah dein aur hydrating moisturizer istemaal karein. aankhon ke halqe chupane ke liye aankhon ke ird gird ki jild ko nami punchane ki zaroorat hoti hai lehaza is mqsad ke liye eye repare cream istemaal karein yeh aankhon ki jhurriyon ko fori tor se bhar deti hai, jis se aap ki ankhein khoobsurat nazar aane lgti hain. In tamam tiyaryon ke baad maamool ke mutabiq apna make up kar lein. make up ke liye hameshah wahi products muntakhab karein jin ki quality umdah ho aur woh aap ki jild ki munasbat se mozun hon.

0 Responses to “Makeup Karne ka Tips”

Post a Comment

All Rights Reserved Health and Beauty