Balo ki Hifazat in Urdu:

Meri behan ke sar mein khushki hai aur jagah jagah se gang namudar ho gayi hai?Khushki bazat khud aik maslah bara hai, khushki ki wajah se baal girte hain, pehle khushki ka ilaj karein.
Meri umer 16 saal hai mere baal do shakha ho gaye hain, dost ke masware se mein ne inhain kaat dia magar one month baad dobarah baal ka do shakha pan bar qarar raha makhan(butter) ki malish ke bawajud koi afaqah nahi hua, mere baal khushk buhat hain aur buhat ulajhte hain, please maswarah dein
dry hair
keh konsa shampoo istemaal karon aur do shakah pan khatam karne ke liye kia karon?
Baalon mein do shakha pan(Dry) amuman khushk baalon ki wajah se hota hai aur baalon ko suljhane ke ghalat tareeqe ki wajah se khushk baal tut-te hain aur do shakha bhi ho jate hain is ke liye baalon ki lambayi ko katwana zaruri nahi hai. Baalon ke chote chote hissey alag kar ke inhain bal de dain aur apni do inglion ko baal mein niche se oper ki taraf pherein jo baal bahir ki taraf niklein, in ko qainchi(Scissors) se kaat dein, is amal ko hafte mein aik bar aur aik hafte tak karna hai, baal katne ke baad aap ache se tail ka masaj karein aur aap menhdi mein anda aur tail mila kar bhi laga sakte hain is ke elawa khushk baalon ka shampoo ya conditions istemaal karein, in baalon ke liye creamy conditions zaruri hai, bazzar mein taiyar baalon ke mask bhi milte hain, who bhi laga sakte hain, koi bhi amal do teen hafte tak karne ke baad hi aap ko behter result mile ga.
Mein first year ki student hon. Mujhe sar (head) mein oil lagana bilkul acha nahi lagta magar ammi har waqt mere piche pari rehti hain keh sar mein oil lagao aur zabardasti mere sar peh oil lagati hain. Mein chahti hon keh aap mujhe batayain keh mein ammi ko bata sakon keh sar mein oil lagane ka koi faidah nahi hai aur is oil lagane se meri jaan chut jaye. Please mere khat ka jawab zarur dijye ga.
Aap ne buhat acha wasal pucha hai aur is sawal se buhat se logon ko faidah hoga. Oil ka istemaal baalon ke liye buhat mufeed hai. Aksar shampoo aur conditioners ke ishteharat mein yeh kaha jata hai keh is mein kon kon se oil shamil hain aur in hi ki wajah se aap ke baalon ki zahiri satah behtar hoti hai. jis tarah chehre ki khushk jild ke liye moisturize lagaya jata hai isi tarah se sar ki khushk jild aur khushk baalon ke liye oil buhat mufeed hai. Aur zidah khushk baalon ke liye garam oil ka treatment dia jata hai. jis se baalon ki khushki ko dur kia jata hai. Baal jo aap ko sidha dhakah ya tube ki tarah nazar aata hai is ke oper mukhtalif nahi hoti hain. Agar yeh sehat mand hote hain to yeh aapas mein jure huye hote hain jis ki wajah se yeh chamak dar hote hain in mein lachak hoti hai aasani se tut-te nahi hain aur khubsurat aur sehat mand nazar aate hain. Jab baalon mein chiknayi ki kami aur nami kam hone lagti hain to yeh khurdure ho jate hain aur be ronaq nazar aane lagte hain. In baton ke ilam ke baad yaqinan oil lagana ab aap ko bura nahi lage ga aur ab aap khud ammai se kaheingi keh mere sar mein hafte mein do bar oil lagaya karein.

0 Responses to “Balo ki Hifazat in Urdu:”

Post a Comment

All Rights Reserved Health and Beauty