Makeup Tips

Face Makeup Tips in Urdu

Aam tor par khawateen yeh samjhti hain keh bhari moqdar mein make up hi in ki khobsurti mein izafa karta hai lekin yeh zaroori nahi. Nafasat se kia gia halka make up bhi chehre ki shadabi bar qarar rakhne mein ahum kirdar ada kar sakta hai. Moqa koi bhi ho , khawateen make up ke beghir ghar se nahi nikalti. Is zaman mein halka make up behtareen rahta hai. Is tarah chehre tar-o-taza jabkeh mautaddil andaz se make up masnoaat ke istemaal se jild ko noqsan nahi punchata aur qudrati shadabi bar qarar rehti hai. Is liye aaj hum make up ke do aise andaz mutaruf karwayein gay jo kam masnoaat ke sath aap ke chehre ko dilkash aur pur kashish banadein gay.
Silver eye Look

Aaghaz 

Is look ke liye apni jild ko cream foundation se tiyar kar lein. Is ke baad ghilaf chashm par mat gold shade ka eye shadow laga yein aur motwazan andaz se is ki blanding karein jabkeh aankhon ke upri konon ko silver eye shadow se uja gar karein kiun keh hamara maqsad sirf upri konon ko numayan karna hai, is liye silver eye shadow ka tuch dena hi kafi hoga.

Eye Liner 

Angle brush ki madad se bariki ke sath black jail ya liner lagayein. Ise lagane ke baad plkon ko curl karein aur sirf uperi plkon par wafir moqdar mein mascara lagayein. Izafi khoobsurti ke liye in par msnuyi palkein lagayein.

Face aur Lips

Pure chehre par shafaf powder lagayein. Is ke baad aankhon ke andarooni hisse mein creamy white pencil ko ahtiyat se lagayein. Honton ko numayan karne ke liye in par gehri bargandi rung ki lip stick ka izafah karein jab keh rukhsaron par halke gulabi rung ke blush on ki blending Karin. Chehre ke sath hathon ko pur kashish banana ke liye nails par gehre rung ke pur kashish nail polish lagayein.

Perfect Creamy Look 

Aaghaz 

Liquid foundation aur cancelor se apni jild ko tiyar kar lien aur phir kuch der baad shafaf powder lagayein. Aankhon ke andarooni hisse mein cream white pencil lagayein, palkon ko curl krein aur in par wafir moqdar mein mascara lagayein.

Eye Shadow

Eye shadow apne ghilaf-e-chasham ke sath aankhon ke nichle hisse mein taupe khakstari rung ke eye shadow ki blending karein. Agar eye shadow saron se bahir nikal jaye to is hisse mein shafaf powder ki blending kar lein.

Brown aur High Liner

Face pr caramel tone ka browns shadow lagayen. Look ko mazeed pur kashish banana ke liye honton ko nude lip stick se high light karein.

0 Responses to “Makeup Tips”

Post a Comment

All Rights Reserved Health and Beauty