Nail Art in Urdu

Naya zamana apne sath nit naye andaz le kar aata hai lehaza ab pehle ki tarah nails ko rangne ka andaz bhi purana hua aur is ke bajaye nit naye design se inhein aarasta kia jane laga. Pehle khawateen apne malboosat se mach karte huye shoes, hand bags aur jewelry waghira ki mutlashi rehti thin.
Lekin ab in lawazmaat mein makhsoos tarz ki nail polish ka izafa bhi ho gia hai. Khawateen jadeed trend ki is nail polish ko apne dress ki matching ke aitbar se istemaal karti hain. Nit naye designs par mabni yeh andaz baqaidah aik art ki shakal ikhtiyar kr gia hai aur khawateen mein be had psand ki jaraha hai. Aaiye is naye trand par aik nazar dalte hain.
Magnetic Nail Polish

Ab aik aisi nail warnish bazaar mein dastiyab hai jis mein lohe ke rung baringe zarrat shamil hote hain. Aap ise aik moqnatis ke zariye apne nails par laga skti hain, jo is nail warmish ke humrah milta hain. Aik waqt mein aik nakhun is ke zariye sajayein. Sb se pehle polish ka aik cote lagayein, is ke baad moqnatis ko nakhun ke oper ghumayein takeh aap ka matloobah pattern bn sake. Moqnatis ko chand second tak is ki jagah par rakhein. Phir is art pattern ko sell karne ke liye is ke oper nail warmish ka top cote lagayen is polish ke zariye aap apni pasand ke mukhtalif design bana skti hain.

3D Nail Polish

Aik aisa set jo polish pot, motion aur brush per mabni hota hai. is ke zariye aap apne nails ko 3 d nail polish art ka tasur de skti hain. Aik waqt mein aik nail ko paint karein . Nail polish ke do cote lagayein, is ke baad is ke oper nan’he nan’he moti bikher dein aur inhein brush ke zariye set kar lein. Nakhanon ko kushk hone ke liye 15 minute ka waqt dein.

Nail Art Wraps 

Nail art wraps, kisi bhi mushkil mein pare beghair nakhanon ko ba aasani sajane ka aik naya trand hai. Yeh mukhtalif designs par mabni sticker hote hain jinhein aap nails per chipka skti hain aur phir apne nails ki shape ke mutabiq inhein file kar skti hain.

Velvet Nail Polish

Is nail warmish ke zariye aap apne nails ko mukhtalif tasur de skti hain. Yeh aik set hota hai jis mein nail warmish, velvet powder aur aik brush shamil hota hai, jis ke zariye nail warmish lagane ke baad mukhmalein powder laga kar nakhanon ko aarastah kia jata hai.

French mini cure ka naya andaz

Ab rawiti French mini cure ko nail art ka naya andaz dia gia hai lehaza French mini cure ka makhsoos pink aur white kami neshan bhool jayein aur zardi mail sabz base istemaa karein. Nails ke saron ko aap neon pink, dark red ya silver shade de skti hain jo raat ki tqreebat ke liye buhat mozon sabit hoga. 

0 Responses to “Nail Art in Urdu”

Post a Comment

All Rights Reserved Health and Beauty