Make up key badalte rujhanat mein nayi aane wali tabdili mein lip color key rung numayan hain. Teiz shokh, khilte huye rung yun to teen age larkiyon key liye munasib rehte hain magar kia kia jaye keh make up se sajaye gaye canvas mein rung hi is bar kuch is tarah rakhe gaye hain keh har umer ki khatoon in se apna face cut badal sakti hain. Yeh na samjhein keh bold shed ki lip skin sirf ramp par walk karti models key liye taiyar ki jati hain. Yeh rung jis fashion mein in hote haint is ka matlab badalte trainds hain.
|
|
Pink Lipstick:
Is season mein teen sheds in hain, Pink key mukhtalif shookh rung, coral (marjan) aur surkh. Agar aap pink key shedz pasand karti hain to is rung mein wasie range mojood hai. Jo kapron aur din raat ki munasbat se istemaal kiye ja sakte hain. Aik hi shed ko mukhtalif andaz mein lagaya jaye to bhi luck mein tabdili layi ja sakti hai. Missal key tor par pink key kisi aik shed ka aik din sirf aik cot lagayein. Doosrya din do kot lagayein gi to donon din lipstick ka rung mukhtalif nazar aaye ga. Yaad rakhein jab shokh rung ki lipstick lagayi jati hai to baqyah face par make up intehayi halka ya natural rakha jata hai. Is shed key liye gehri skin tone (gehri rungat) bhi buhat mozon hai sanoli rungat wali khawteen bold pink shed ki lipstick lagane mein jhijhak mehsoos na karein in par yeh rung khoob jachta hai.
Coral Lipstick:
Coral (marjan) behtareen rung hai jo har kisi par acha lagta hai aur din key kisi bhi waqt lagaya ja sakta hai coral ka aisa shed muntakhab karein jo gehre orange ya peach jaise rung jaisa ho. Golden ya natural make up key sath yeh shed istemaal karein. Yahi make up raat key liye is surat munasib hai jab coral shed mein metallic golden glose shamil kar lia jaye .
Lipstick key texture key liye zara ahtiyat karein, mat aur shine donon tarah key texture is waqt istemaal kiye jarahe hain.
1- Aap par kon sa shed soot kare ga, Yeh maaloom karne key do tariqay hain pehla lipsticks texture badla ja sakta hai.
2- Lipsticks texture badalne key liye is mein gloss ya shma shamali kia ja sakta hai ya phi rise mat karne se bhi mukhtalif shed mile ga. Doosri surat mein agar aap yeh sonchti hain keh koi naya rung aap par jache ga ya nahi to phir aisa kijye keh apni regular istemaal ki lipstick key elawah chehre par lagane wale baqyah make up mein tabdili le aayein. Jaise aajkal key fashion mein in colors eye liner ya is se milata julta eye shedow lagaiye. Bas kheyal yeh rahe keh chehre ka baqya make up lip color se mamaslat rakhta ho.
3- Hamare mulk mein pale (zard) gandumi, sanoli aur buhat ziadah saaf rungat bhi payi jati hain. Rungat key aitbarse is waqt tamam tar lip colors istemaal kiye ja sakte hain. Lipstick key yeh sheds is waqt maqbool aam hain in ko fresh color kah jata hai yeh rung har rungat par jachte hain.
4- Mojoodah fashion mein in lip color yun to nojawan khawateen key liye hain lekin agar yeh shed old age ki khawateen ki skin ton par jachein to woh zara si rad-o-badal key sath inhein istemaal kar sakti hain. Gehre rung lagane mein yeh ahtiyat karein keh in key sath glose shamar istemaal na karein mat functioning lipstick lagayein kiun keh glosi hont old age ki khawateen key chehron ki lakirein numayan kar dete hain.
5- Agar pehli martabah hi lip stick ko dururs tariqay se lagaya jaye to yeh kayi ghanton taka chi halat mein rehti hai. jab aap aaj kal key fashion key mutabiq bold lip colorz lagayeinto ahtiyat zara malhooz rakhein. Thori, thori der mein check karti rheye keh aap ki lip stick fresh hai ya nhi agar aainah na ho to ahtiyat se lip gloss ka touch dein.
|
0 Responses to “How to Apply Lipstick”
Post a Comment