Benefits of Banana (Kela khanaay k fwaid)
Do you like this story?
Banana Pakistan ka behtreen phal mana jata hai. Mutaddil mizaj ka hamil hai. Is ka darakht jis ghar mein hota hai, wahan wood ke doors aur windows waghera mein deemak nahi lagti. Deemak aur keerhe makorhey is ki roots ke juice ko bohat pasand karte hain. Aur ghar ke dosre hisson mein nahi lagte hain.
Insaan ke liye bhi Banana bohat mufeed hota hai. Kamzor logon ke liye ise Apple ki tarha mufeed mana jata hai. Is mein loha bohat hota hai, isi liye yeh bohat taqat pohchane wala phal kehlata hai. Aur blood ki kami aur piliya mein bohat diya jata hai. Kamzori mein ise Tangerine ya Lemon ke arq mein khob hal kar ke bhi dete hain. Banana jab bilkul pak jata hai to is ka color bhora ho jata hai. Chatty daar banana sab se acha mana jata hai. Pechish mein banana ko milk mein mila kar dete hain, to yeh ghiza aur dawa dono ka kaam karta hai. Isi wajah se pechish ke mareez ki sab ghiza band kar ke 120 gram milk mein aik banana mila kar fi khorak khan eke waqt den to aaon aane band ho jate hain.
2 hissa imli ka gooda, aik hissa banana aur thora sa namak mila khane se purane se purane khoon, aaon aur dast ke liye mufeed sabit hota hai. Yeh bohat hazim hota hai. Banana ko dhoop mein sukha kar is ka aata bana kar bhook na lagne par is ki roti bhi khai jati hai. Khatti dakaren aane par bhi yeh roti khai jati hai ya banana khaya jata hai. Banana ya bananas ka safoof badhazmi ki shikayta mein diya jata hai.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Benefits of Banana (Kela khanaay k fwaid)”
Post a Comment