Tarbooz(Watermelon) khanay k fwaid
Do you like this story?
Taruf (Introduction)
Tarbooz ek shiren phal hai jo k ye ek bel me lagta hai is ke gude me be shumar bich hote hain ye kafi bara hota hai.magar mulk chaina ne hamen ek aesa Tarbooz ka nirala bich 3 4 sal me fraham kya hai jis ka qad chota hota hai magar khane me shiren or behad laziz hota hai is se pehle Tarbooz ek volume ka hota tha ab dosre qisim ki mashori ho gai hai. Tarbooz ka phal bakasrat daryaon ke kinare kasht kya jata hai.
Ajza(Ingredient)
Is me shamil ajza glocouse, folad, phosphorous rogni ajza potacium nishashta dar shakar ajza ke elawa vitamin A vitamin B C or Dshamil hain is ki tasir sard tar hai.
Tibi Khawas Or Elaj (For Treatment)
Tarbooz dil or dimag ko taqwiyat dene ke lye is ka istamal behtar hota hai agar Tarbooz ko khajor ke sath khaya jae to anton or masana ko saf karta hai chehre ko nikharta hai pathri ko kharij karta hai sugar ke mariz bhi ise kha sakte hain Tarbooz khane se meda or anton ke zakham dor ho jate hain seb ki tarha is me pectin hota hai. Ye blod presuer ko khatam karta hai Tarbooz piyas bujhata hai garmi k odor karta hai safrawi bukharon me Tarbooz ek behtrin dawa hai daimi qabz ka mariz Tarbooz istamal kare to daimi qabz ka khatma ho jata hai Tarbooz khane se khon ki tizabiyat or garmi khatam hoti hai urine awar phal hai ye safrawi garmi k odor karta hai ye sodawi bimaryon ke lye bhi behad mufid hai Tarbooz typiod me behtrin giza hai Tarbooz ko agar skinjen ke hamrah istamal Karen to ye yarqan ke lye behad mufid tonic hai Tarbooz shehad se khana balgami mijaz walon ke lye boht mufid hai jis mariz ko waswas ki ziyadti ki waja se pagal pan ka dar ho to Tarbooz khaya Karen gram mijaz walon ko farhat bakhshta hai.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Tarbooz(Watermelon) khanay k fwaid”
Post a Comment