Anaar khanay k Fwaid

Taruf (Introduction)

Kehte hain anar un khush qismat phalon me hai jin ka zikar khuda tala ne quran pak me kya hai is se is phal ki fazilat zahir hoti hai or sab se bari bat ye hai k hamare pyare Rasol Hazrat Mohammad mustafa (S.A.W) ka anar pasandida phal hai is lye Allah tala ne surah inam me farmaya k ahal haq hi anar ki rohani khasosiyat se waqif ho saken ge ye bat naqabile tardid hai k Hazor Pak (S.A.W) se zyada sacha aaj tak paida nahi hua or is mujasim sachai ne farmaya hai bedana anar bahi, seb shami safeda angor kharmae taza jannat ke mewe hain or anar ke mutaliq farmaya anar sab mewon me behtar hota hai or pet bhare ko hazam tam hai dunyawi tamam anaron ki qismon me bedana anar hi wo qisam hai jo be zarar janat ka mewa hai or ek phal me sirf ek dana rohani khasosiyat ka hamil hota hai q k is me jannat ka pani hota hai jo shakhs anar salam khae to shetan 14 din tak us ki dil ki roshni se dor hota hai agar 3 bedana anar bek waqt khae to us ke dil ki roshni se shetan 1 sal tak dor rehta hai go ya banda gunahon se pak rehta hai jo mubtalae gunah na ho behasht me dakhil ho ga mazkora bala tamam khasosiyat saware kainat (S.A.W) ne farmai hain jin me zara brabar shak nahi kya ja sakta.
Anar ……… kehte hain anar ko bila shirkat pura khana chahye q k is me ek dana janat ka hota hai is phal ka shumar janatul firdos ke phalon me hota hai anar surkh or safed rangon me paida hota hai dunya bhar me ye phal paida hota hai in ke zaiqe bhi 2 aqsam ke hote hain tarsh sheren anar jise kabli anar bhi kehte hain khush rang or ras bhara hota hai tarsh danon wala qand hari anar kehlata hai jo k tarsh honeke bawajud maze dar hota hai anar ko rabul ezat ne dilkash rangon se nawaza hai jo har dekhne wale ko bhala lagta hai anar khush maza or rasila phal hai aam tor pr is ki 3 aqsam hain.
1 : kandhari anar
2 : bedana anar
3: khalis anar 
               

0 Responses to “Anaar khanay k Fwaid”

Post a Comment

All Rights Reserved Health and Beauty