Care for Face Beauty

Chehre Ki Hifazat:

Baaz khawatee ka rung gora hota hai chehre ke masam khule hote hain aur chhre par chaiyan par gayi hoti hain. In ke liye stringent istemaal karne ka mashwarah hai. Stringent aik lotion ka nam hai. Is se khule huye masam band hojate hain. Aur chehre ki azlaat mustahkam rehte hain moisturize bhi aik qisam ka lotion hai. Yeh khushk jild ko ratubat farahum kar ke ise narm banata hai.  jild bhi dusre aaza ki tarah aik zindah azu hai. dusre ki tarah yeh bhi aap ko jine ka ahsaas dilate hai. qudrat ne insane ki narm-o-nazuk jild ko bara hi hassas
beautyful face
banaya hai. is ke aik aik reshe mein khulye hain jo yeh batate hain keh mosam garam hai ya sard. Cheez narm hai ya sakht yeh din raat jisam ki hifazat karte hai. jism ko germs aur bimaariyon se mahfuz rakhte hain. Is surat mein aap yaqinan is baat se muttafiq hongi keh khubsurat nazar aane ke liye sirf chehre ke make up hi ki zarurat nahi balkeh munasib deikh bhal aur parwarish bhi zaruri hai.
Jild ki khoobsurti ke liye cream aur lotion se ziadah zaruri mukhtalif hisse apna kaam sahi tor par anjam nahi de sakein gey.
Protein yani lehmiat hamare jism ko nayi quwat bakhshte hain. Agar jism ko puri moqdar mein protein milte rahein to is se jism sehat mand aur jild tawana rehti hai.
Vitamin bhi jild ki rungat ko khoobsurat banate hain. Aur bd surti se dur rakhte hain. Is maqsad ke liye vitamin B aur vitamin C bara ahum kirdar ada karte hain. Fruit aur vegetable ka rus agar rozana istemaal kia jaye to jild ko aik nayi tazgi aur fusat milti hai. aap ne dekha haseen banne ka formula aur vegetable aur milk ka istemaal karein aur apna husn bar qarar rakehin sehat mand jild umer ki perwah poshi bhi karti hai.
Dopehar ko aik glass tazah phalon ka juice aur raat ko sone se pehle aik glass doodh piyein. Yeh mashroobat jild ko tar-o-taza rakhte hain.
Baaz khawateen ke chehre par siyah dagh par jate hain. Yeh dagh dhabbe khawateen ko is qadar pareshan karte hain keh in ke liye zindagi ka aik bara ahum maslah ban jaye. Cosmetic par hazaron rope zaya kar dene ke bawajud in ka yeh ahum ahum in ki yeh pareshani dur nahi huyi. Beauty clinics aur Silone ke chakar par chakar lagate huye bhi in ka maslah hal nahi hota. In ke liye yahan aik youga aasin pesh kia jata hai buhat mufeed sabit hoga.
Farsh par let jayain. Apne donon baazu sidhe farsh par tika dein. Aur donon tangain aahistah aahistah oper utha kar aahistah aahistah jis qadar sar ki taraf lasakein layain. Aik minute is halat mein rahein is aasin se khoon ka doran chehre ki taraf jata hai. jo jild ko tazgi ke liye azhad mufeed hai is se kabhi na mitne wale chehre ke daagh dhabbe dur ho jate hain.

0 Responses to “Care for Face Beauty”

Post a Comment

All Rights Reserved Health and Beauty