Beauty Secrets and Tips

Beautiful skin is one of the most attractive indicators of beauty and youth. Beautiful skin begins with a good home skin care routine with products that are right for your skin. Bollywood heroines are very beautiful and everybody likes them very much. Heroine’s body fitness, skin and beauty everything is attract them. Bollywood heroine are very conscious about their beauty. They know that how to care their beauty? In this page you can read and get knowledge about some heroine beauty secret. jild ki hifazat, jild ki khubsurti, jild ki safai, dry skin care tips at home, beauty tips in urdu for skin, jild k totkay, skin care tips in hindi

Khoobsurti ka Raaz Kya Hai

Show biz ki dunya mein sara khel hi namood o numaish aur husn o ada ki jadoo giri ka hai. Yahan aik se barh kar aik hasinah mojood hain jis ke aane se filmi screan par goya bahar aajati hai aur film binon ke dil aik dam khil uthte hain. Qadam qadam par phool khilati in heroine ki khoobsurti ke charche dunya bhar mein hain. In mein se ko chodhwin ka chand to koi aaftab hai. Khoobsurti be shak rab ki ata hai lekin yeh filmi paryan is ki qudar o ahmiyat se agah hain aur is ki hifazat karna ba khoobi janti hain. Khsoosan apni jild ki hifazat ke muamle mein kabhi la parwayi nahi barattin yahi wajah hai keh in ke husn ki aab o tab tader qaim rehti hai. Aaiye kuch filmi adakaraon ki zubani yeh raaz jante hain keh vo apni jild ki khoobsurti kis tarah bar qarar rakhti hai.

Rekha

Meri khoobsruti ka raaz yahi hai keh roz buhat sa pani piti hon. Tali huyi aur ziadah der pakayi gayi chizon se parhez karti hon aur raat 8 baje se pehle khana kha kar jald hi sone chali jati hon.

Bipasha Basu

Mein apni jild ki khoobsurti aur hifazat ke liye din bhar mein kum az kum 10 glass pani piti hon aur bahir qadam rakhne se pehle high SPF wala sun screen zaroor istemaal karti hon. Is ke elawah hafte mein kum az kum 4 din 1 ghante ki warzish karti hon aur 7-8 ghante ki neend leti hon kiun keh is se bhi jild par numayan asraat murattab hote hain. Mazeed yeh keh hameshah achi quality ka make up istemaal karna aur sone se pehle make up saaf karna bhi buhat ahmiye rakhta hai.

Deepika Padukone

Apni jild ki dekh bhal aur is ki hifazat mere roz marrah ke maamool mein shamil hai. Lehaza mein pabndi ke sath jild ki cleansing toning aur moisturizing ki zaroorat hoti hai is liye is ki safayi ki khatir halka aur narmi se asar karne wala sabun istemaal karti hon. Is ke elawah hameshah aisi product istemaal karti hon jo narm asar hon aur meri skin se zaroori protein khtam karne ka bais na hon. Mein buhat ziadah make up istemaal karne ki qail nahi, lehaza chand bunyadi cheezon par hi iktefa kartihon. Jaise keh moisturizing, lip balm aur neutral foundation. Go keh mein baqaidgi se facial nahi karwati lekin kabhi kabhar cleansing session ke liye zaroor jati hon. Tahum raat ko sone se pehle make up utarna kabhi nahi bhoolti.

Neetu Singh

Motwazan ghiza aur exercise achi sehat ki kaleed hai. Aap jo kuch bhi khate hain iske asraat aap ki jild par zaroor nazar aate hain, lehaza agar aap sehat mand hain to is ka aik chehre par jhalkta dekhayi deta hai. Yahi wajah hai keh din bhar mein 5 martaba phalon aur sabziyon ki thori thori moqdar khana mere liye lazmi hai kiun keh is tarah nizam doran khoon durust rehta hai aur jism mein pani ki munasib mqdar bhi puhanchti rehti hai. Iske elawah yoga aur marqbah bila shubah meri khoobsurti mein izafe ka bais hai. Chamakdar jild pane ke liye sab khawateen ko mera mashwarah hai keh pani ke aik jug mein khire ki qashein kaat kar dalein aur jab bhi piyas mehsoos ho yahi pani piyein. Yeh garenti hai keh aap ki jild jagmaga uthe gi.

Hema Malini

Husn baja tor par khuda ka inaam hai lehaza kabhi is ki naqadri nahi karni chahiye. Mein apni jild ki khoobsurti ke liye aroma oil istemaal karti hon. Is ke elawah cleansing milk ka istemaal mere roz marrah ke maamool mein shamil hai. Ziadah pani pina bhi jild ko nami punchane aur ise tar o tazah rakhne mein madad gar sabit hota hai. Mein roz subah dahi zaroor khati hon kiun keh yeh meri jild ke liye acha hai. Phal aur dry fruit meri ghiza ka hissah hain aur mujhe khanon mein ghee bhi buhat acha lagta hai lekin ise kabhi kbahr hi khati hon kiun keh yeh motapa paida karta hai. Rozanah do cup green tea zaroor piti hon aur junk food bilkul nahi khati. Hameshah apne maamool ka paband rehna aur apne aap par controle rakhna zindagi ke har muamle mein buhat ahmiyat rakhta hai.

Karina Kapoor 

Mein apni jild ki khoobsurti ke liye buhat sara pani piti hon aur pabandi ke sath yoga karti hon jo mujhe khoobsurat rakhne ke sath fit rakhta hai . Is ke elawah mokammal tor se sabzi khoor hona bhi mere husn o sehat ka zamin hai.

Sonam Kapoor 

Pani ziadah balkeh buhat ziadah piti hon. Khas baat yeh hai keh hum jo kuch bhi khate hain is ke asraat behar haal hamari jild par namoodar hote hain. Lehaza is baat ka buhat kheyal rakhti hon keh koi na munasib cheez har giz na khaon. Is baat ko yaqini banana buhat zaroori hai keh aap andar se sehat mand rahein kiun keh yahi sehat dar asal husn ban kar chehre par jhalakti hai. Yahi wajah hai keh motwazan ghiza aur warzish ki hamari zindagi mein bari ahmiyat hai. Mein apne din ki ibteda garam pani lemon aur shehad se karti hon aur phir din bhar pani piti rehti hon . Is se mere jism se zehrile madon ke akhraaj mein madad milti hai jis ke natije mein jild sehat se chamkti dekhayi deti hai. Sun screen ka istemaal mein kabhi tark nahi karti aur bahir jane se 20 minute pehle ise lagati hon. Mazeed yeh keh raat ko aaram karne se pehle make up aur moisturizing ka aik aik zarrah apne chehre se utar deti hon

Nargis Fakhri 

Har shakhs doosre se alag hota hai is liye sab ki zarooryat bhi alihda hoti hain . Lekin mein janti hon keh mere liye kia acha hai aur kia bura. Apni jild ki nigh e dasht behtareen tor se anjam dene ke liye yeh maaloom hona be had zaroori hai keh aap ke rozmarrah ke maamool aur jild ki sakhti ke aitbar se kia munasib hai. Meri koshish hoti hai keh skin care ke apne maamool ko kabhi tark na karein. Jis mein cleansing aur moisturizing ko bunyadi haisyat hasil hai. Jis se zehrile madon ke akhraj ki khatir mein normal pani buaht ziadah piti hon. Jab meri shooting nahi hoti to is doran make up bilkul istemaal nahi karti takeh meri jild khul kar sans le sake. Tahum meri khoobsurti ka sab se bara raaz shayad yeh hai keh mein har mausam mein apni jild ki moisturizing ka buhat kheyal rakhti hon.

Ketrina Kaif

Mein beauty ke is asool par sakhti se amal karti hon keh raat ko har haal mein apne chehre se make up saaf karon, khah ketni hi thaki hoyi kiun na hon. Munh dhone ke liye mein aisa face wash istemaal karti . Is ke elawah jild ki safayi ke liye apricot oil mera be had pasindida hai lekin agar kabhi fori tor par apne chehre ki dilkashi aur tazgi bahal karni ho to is ke liye mein mineral mud mask par bharosah karti hon kiun keh yeh meri jild ke liye buhat sakoon bakhs sabit hota hai.

0 Responses to “Beauty Secrets and Tips”

Post a Comment

All Rights Reserved Health and Beauty