Benifits of Fruit's (in urdu)

Fitri Moawanat: (Beauty Tips for Natural Foods)

Bohat si fitri ghezaein jild ki sehat aur khobsorti mein ezafe ka zarya banti hein. In ghezaon mein se aik lemo ka juice hai.

Beauty Tips for Lemon Juice:

Ap ager 1 glass boiled milk (balai samet) mein 1 lemon nichod kar aur 1 chaey ka chamcha glycerin shamil kar ke aadhe ghante tuk pada rehne dein aur pher es malghobe ko chehre, hath, garden aur pao pe raat ke waqt lagaein aur ye estamal rozana rat ko ba-qaedgi se jari rakhein to ap jawan sal aur pur kashesh nazar aane lage gi.


Beauty Tips for Peach: (Aado ka chilka)

Aado ka chilka jild ki rangat mein behtari lane mein zabardast moawanat karta hai. Aado ke rang jesi rangat es ka mamoli natija hoti hai. Es ke estamal ka tariqa kar ye hai ke aado ka chilka utar lein aur es ka andaroni hissa rozana rat ko chehre per narmi ke sath chand minute tuk ragdein. Ragadne ke bad chehre per lagne wali ratobat ko saf na karein. Yani rat bhar lagi rehne dein. Ye ratobat jild ko umda tareqe se saf kar de gi aur masam khul jaein ge. Aado ki jild mein mojod made insani jild ko kasne mein madad dete hein. Es ka estamal chehre ke patho ka dhila pan dor kar ke bafto ko latakne se mehfoz kar deta hai. Chnancha chehra jawani ke dor jesi shadabi aur kasao ki jhalak dene lagta hai.

Beauty Tips for Sangtara and Orange: (Sangtare aur malte ka juice)

Sangtare aur malte ka juice bhi chamak-dar ranggat ke liye nehayat muffed sabit hota hai. Sangtare ke khalis juice (es mein pani ya kuch aur shamil na kiya gaya ho) mein ungliyan bhigo kar inhein achi tarha chehre, thodi, garden aur peshani per malein. Chand roz mein chehre ka nikhar numaya ho jae ga. Kache sangtaron ke beaj dhop mein khushk kar ke enhein pice kar safof bana lein. Es safof ka pest agar rat ko phansiyon aur acne pe laga ya jae to jild saf ho jati hai.

Beauty Tips for watermelon: (Tarboz ka juice)

Jild ki chaiyan saf karne ke liye tarboz ka juice nehayat kar-aa-mad hai. Es maqsad ke liye tarboz ka 1 chota sa tukda bhi kafi rehta hai. Es tukde ko kado-kush kar ke aur pher nichod kar juice nikal lein. Ye lotion ya juice 15 minute tuk chehry (face) aur garden per lagaein aur pher nim garam pani se dho kar thande pani ke chetein marein.

0 Responses to “Benifits of Fruit's (in urdu)”

Post a Comment

All Rights Reserved Health and Beauty