Teeth Care

Danton ki Hifazat in Urdu

Qanoon qudrat kay mutabiq har fard kay danton kay do set hote hain, auwal vo jo bachpan mein paida hote hain aur chand hi saal tak rehte hain dom vo mustaqil daant jo qudrat ne insan kay liye is ki zindagi kay khatmah tak rehne kay liye banaye hain magar insan ki la parwahi aur kam ilmi ki wajah se shaz o nadir hi apna kaam anjam tak punhchate hain.

Banawat mein dant kayi reshon par mushtamil hota hai jo chemical banawat mein aik doosre se mukhtalif hote hain.

Dant ka jism jo munjamid haddi kay madah ka hota hai.

Jar ……… Jis par siment ka iak pardah charha hota hai.

Choti…. Yeh aik nehayat sakht cheez hai dhaki hoti hai jise enamel kehte hain is se daant ghisne se bacha rehta hai.

Daant kay jism tak aik khokhli nehar jati hai jise andarooni nehar kehte hain is mein aik narm reshah hota hia jis mein buhat si ragein mojood hain ise dant ka guda kehte hain, danton mein jo dar mehsoos hotahia vo yahin se shuru hota hai.

Khoobsurti

Chehre ki banawat izhar aur rawaiyah par danton ka buhat sa asar hai.
Chehre kay bezwi khake kay beghir kabhi khoobsoorti nahi ho skti , is ka dar o madar aur thori kay milap par hai jin ki shakal o shabahat jaron par munhasir hai aur agar ghor se dekha jaye to in becharon ka inhesar khood danton ki baqaidah banawat par hai, chehre ki khoobsoorti bad numa, be qaidah ya ghumshudah daant bil kul bar bad kar dete ain agar daant poore na hon to jabre sukar jate hain aur natijah yeh hota hai keh chehre ka niche ka hissah ghathi huyi shakal ikhtiyar kar leta hai. Aik American poet ka kehna hai keh jis aurat kay daant khoobsurat hon use aap bad soorat nahi keh sakte , yeh baat bhi yaad rakhne ki hai keh khoobsoorat daan jo dast qudrat hai jo dast qudrat se milte hain kisi dandan saaz ki dukan se mile huye daant in qudrati danton ka moqablah nahi kar skte hain.

Danton ki Hifazat


Sab se zaroori baat danton kay tandarust rakhne kay liye yeh hai keh in ki safayi ki taraf poori tawajjah rakhni chahiye. Agar log har khane kay baad apne daant saaf karne ki aadat apna lein to dandan saaz be kar ho jayein lekin aisi ahtiyat ki umeed har shakhs se nahi ki ja skti khasoosan aise ashkhas jo chalne phirne kay kaam mein lage huye hain magar vo bhi subah o sham to danton ko saaf kar skte hain.

Sone se pehle zaroori hai keh khorak ka chote se chota zarrah jo danton kay sath ya in kay darmian rah gia ho nikal dia jaye kiun keh yeh chote chote zarrat munh ki hararat aur ratoobat mein narm ho kar sarte hain. Aur tezab ban kar daanton kay enamel ka satyanas kar te hain.

Danton ki safai ke liye buhat se manjan aur tooth paste bazaar mein milte hain jinhein brush kay zariye istemaal kia jata hai daanton ki safayi kay liye zaroori hai keh fingers se masooron ko malein is tarah masoron ka badi pan waghirah nikal jata hai jabkeh brush karne se yeh baat paida nahi hoti.

Danton ko saaf aur chamak dar banane kay liye neem ki chal se dant saaf karne chahiye is se behtareen koyi manjan aur tooth peste nahi hai. Neem ki tehni tor kar is ki operi chal utar lein , andar sufaid rung ki chal rah jaye gi, ise munh mein daal kar khoob chibaiye narm ho jane par danton par khob ragarein aur sade pani se kulli kar lein. Daant moti ki tarah chamak jayein gay.

Do teen strawberry pees lein aur ise danton par paste ki tarah istemaal karein.

Mitha soda aik spoon le kar is mein thora sa namak mila lein. Danton ko qudrati tor par chamkane ke liye behtareen noskhe hai lekin kheyal rahe keh namak ziadah der tak danton par na ragrein is se dant kharab hone ka khdsha hota hai aur yeh masoron ko bhi kamzor kar deta hai.

Danton ko gehre randar aur bad numa hone se bachane ke liye zaruri hai keh aap tobaco, katchap, cola, nasha aawar mashrubaat, soy sauce, red sauce waghirah istemaal na karein ya in ke istemaal ke baad dant saaf kar lein.

Rozana khane ke baad danton ki safayi karein ya doctor ki batayi huyi chewing gum istemaal karein.

Smoking bilkul tark kardein.

Danton ke liye sirf apne brush istemaal karein.

Danton ki hifazat bachpan se karni chahiye is baat ko apni aadat mein shamil kar lein keh rozanah raat ko sote waqt daant saaf kar kay soyein isi tarah mithi cheez khane kay baad brush kar leni chahiye.

Koi gharilu noskha doctor ke mashware ki jagah nahi le skta hai. Danton ki andarooni satah par jo daagh hain us ka khatmah sirf mualij hazrat hi kar skte hain.

1 Responses to “Teeth Care”

Unknown said...
30 April 2015 at 22:28

I found a really wonderful post. You are knocked nail on the head about lactulose supplement review. See more HOUSTON PORCELAIN VENEERS Houston Porcelain Veneers, When you smile, do you worry that someone may notice stained or chipped teeth 832-786-4406 Consult with a natural looking veneers.


Post a Comment

All Rights Reserved Health and Beauty