Laser Treatment For Skin

Laser Treatment:

Khawateen aur bachiyon ke cheron par faltu baalon ki afzaish ka sabab :
Khawateen ke chehre par faltu baalon ki bari wajah female hormone ka bigaarh hai, jis ka ahum sabab motapa hai. In baalon se mustaqil nijaat ka wahid zareeyah Nd yag long Puls laser hai, jo Asian jild ke liye ba-tor khas banaya gia hai. Is ke 5, 6 censes hi se 90% faltu baalon ka khatmah ho jata hai aur is ke istemaal ke doran sawaye halki si chubhan ke koi aur takleef bhi nahi hoti.
Jhaion ka sabab aur ilaaj:
laser treatment
Zachgi ke baad, dhoop aur zehni sadmaat jhaiyon ki ahum wajoh hain, jab keh degar wajuh bhi ho sakti hain. Dhoop se bachao aur sun block ka istemaal is ke liye be had mufeed hai jhiyon ki shikar khawateen, agar kuch din pardah karlein to is se bhi masbat nataij samne aate hain.
Laser ke jaded tareeqah ilaaj:
Taweel doranye ki tahqeeq ke baad, har tarah ki jild ke liye laser ka aik alag tareeqa wazah kia gia hai aur is tareeqe se jildi amraz ka nehayat kaamyabi se ilaaj kia jaraha hai. yeh tareeqa illaj sehat ke asulon ke mutabiq hai aur is ke koi muzir asrat bhi nahi. Laser se chehre par ugne wale faltu baalon aur daagh dhabbon ka khatmah, kali rungon ko sanola banana, latki huyi khal ko durust karna aur jhurriyon ke amal ko der tak roke rakhne ka kaam, kaamyabi se kia jaraha hai.
Chehre aur jild ki mukhtalif bimaariyon aur in ke khatme ke liye leser kar aamad hai:
Barth mark, paidaishi daagh dhabbe, jo adhe ya pure chehre par hote hain, laser ke istemaal se kam ya ghaib kiye jasakte hain, lekin in ke nataij ka inhesar, bimaari ke darje par hai keh who ilaaj ke aaghaz par kis stage tak puhanch chuki hai. Behar haal leser in sab ke liye betareen illaj hai. Isi tarah chehre par hone wali phaphondi numa bimari ko medicine aur ahtiyati tadabeer se qabu kia ja sakta hai, lekin ziadah phail jaye to leser ilaaj hi karaamad hai.
Laser ke zareeyeh old age, aur jhurriyon ki afzaish ko qabu kia jasakta hai:

Burhapa (old age) barhti umer ki alaamat, guzarte waqt ka ahsaas hai aur ise koi shikast nahi de sakta, albattah is umer par kuch “break” lagayi ja sakti hai. jo khawateen durust product aur munasib ghiza ka istemmal karti hain, apni umer se 5,6 saal choti nazar aati hain, isi tarah 30 saal ke baad Anti Wrinkle cream, vitamin C, E aur serum ke istemaal se jhurriyan zahir hone ke amal ko sust kia ja sakta hai, jab keh leser ke jadeed tareeqah ilaaj mein lesers, photo facial aur botaks injection se bhi inhain kam kia ja sakta hai. isi tarah latakti huyi jild ke liye Thermage se behtar tareeqah aur koi nahi.
Jild ki hifazat ke behtareen tareeqa:
Behtareen tareeqon mein sab se pehle munasib product se jald ki safayi suthrayi karna, hamesha mahir amraz jild se muainah karwana ( jo jild ke mutabiq aduyah ya cleanzer tajweez karta hai aur dhoop se bachao shamil hain. Phir protein mein meat, furits, vegetables aur omega feti acids mein, palm oil, olive oil aur fishes oil istemaal ki ajaye to yeh jild ki hifazat ke liye behtaren tareeqe hain.
Leser ilaaj ke doran perhaiz:
Doran-e-ilaaj koi parhaiz nahi hota, lekin medicine (lotion ki surat) tajweez ki jati hain, jo kuch arse chehre par lagani hoti hai.

Jild ki hifazat ke liye khas khas batain:
Khawateen, khaas tor par apni khorak ka kheyal rakhein. Dieting ke doran bhi, apni ghiaza mein protein, calcium, aur vitamin wali ghiayon ka istemaal ziadah karein. 7, 8 glass saaf pani pine ko aadat banayain. Kachi sabziyon aur season fruits ka istemaal lazmi karein. Isi tarah kisi lezer clinic jane se pehle mualij , is ke clinic, tareeqah ilaaj aur istemaal hone wali machinery se mutalliq tamam tar maalumaat hasil kar lein. Doctor se mutmain hone ke liye, jo sawalaat zehan mein hon, inhain zarur clear karein aur ilaaj aik hi mahir mualij se kar waian, bar bar doctor tabdeel na karein. Yaad rakhein, jild se mutalqah amraz ke ilaaj ke liye sabar-o-isteqaamat be had zaruri hai. Ache nataij ke liye intazar karna parta hai. Jab tak ilaaj mukammal na ho, mukammal aur umdah nataij bhi samne nahi aate.

0 Responses to “Laser Treatment For Skin”

Post a Comment

All Rights Reserved Health and Beauty