How to Improve my Face Complexion
Do you like this story?
Face Care Tips Urdu: | ||
Mein Metric ki talbah hon mera maslah yeh hai keh meri jild chikni hai aur is par buhat sare dane nikalte hain aur in danon mein se peep aur ganda pani nikalta hai is ke baad yeh bud numa daagh chor jate hain jis ki wajah se chehrah kala aur bud numa lagta hai yeh dane do qisam ke hote hain. Pehli qisam peep aur ganda pani wale. Dusri qasam mein dane khushk aur sakht hote hain is ke baad yeh keel ban jate hain jo keh naak par ziadah hote hain yahan mein batati chalon keh yeh maday ka bhi maslah hai jo keh shayad ziadah chaye (tea) pine se hai. Meharbani farma kar mere masle ka hal tahreer karein nawazish hogi.
jaisa keh peep aur gande pani wale danon ki aap ne wazahat ki hai yeh infected Acne(keel mahasay) hai behtar yah hoga keh aap mahir-e-amraz jild se ruju karein kiun keh is ke liye dawa khani hogi aur jis tarah aap ko doctor mashwarah de is par amal karein. Nishan chorne ki wajah cherah ki safayi na rakhna aur danon par hath aur nakhunon ka lagna hai aur is ke liye zaruri hai keh aise tissue paper safayi ke liye istemaal karein jis mein perfume nahi hota balkeh ziadh behtar hai keh aap malmal ka saaf kapra istemaal karein. Aap ne yeh bhi likha hai keh mere maday ka bhi maslah hai aur aap ne yeh is ki bilkul wazahat nahi ki hai keh kia maslah hai aur agar yeh ziadah jaye pine se hai jaisa keh aap ne tahreer kia hai to phir chaye kiun kam nahi kar detin aur baron ke kehne par aap tazah sabzi, phal, doodh, gosht waghairah kiun nahi istemaal kar rahain chehre ke liye waqti tor par aap neem ke patte pees kar is ka mahlul bana lein aur din mein jitni baar ho sake cotton ke sath is ka chehre par lagayain is tarah aap ki safayi ka maslah bhi hal ho jaye ga.
Mujhe apne chehre ki jild ki mukammal dekh bhal aur safayi suthrayi ke liye mashwara chahiye. Mere chehre ki jild garmiyon mein chikni aur sardiyon mein sirf gallon par se maamuli khushk ho jati hai meri jild naak ke donon taraf gallon par se kuch ubhari ubhri hai aur masamat bhi khule hain is ke elawa meri thori aur gallon par kil bhi ho gaye hain yeh keel waise to ban rehte hain lekin agar chehre ki safayi na karon to khas tor par yeh dane ban jate hain. Jin mein kharish bhi hoti hai. phir takleef ke baad pak kar keel ban jate hain aur yahan nishan par jate hain in ke elawah waise to mere chehre par mahase nahi nikalte lekin ghiza mein tabdili se agar aik aadh nikal aaye to wahan dhabbah par jata hai is ke elawa meri neend gehri aur pur sakun nahi hoti neend ke liye to mein elaaj kar wa rahi hon. Dar asal mujhe madey ki kharabi ki wajah se neend nahi aati lekin masla yeh hai keh neend ki kharabi se meri aankhon ke niche jhurriyan namudar ho gayi hain ab yeh jhurriyan mustaqil rehne lagi hain. Aap se yeh puchna hai keh in jhurryon ke liye mein kia istemaal karon meherbani kar ke agar gharilu noskhe aur totkey batayain to behtar hoga kiun keh meri jild hassas bhi buhat hai. lekin agar kisi product ke mutalliq likhein to naam bhi zarur likhain ehsan hoga. |
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “How to Improve my Face Complexion”
Post a Comment