Benifit's of Fruits for Skin(in urdu)
Do you like this story?
Some benefit of fruits for skin. Apples can be made mask to lift the skin dull and wrinkled, and apple mask is also able to keep your skin moist. Castor oil stimulates the growth of strong and healthy hair. The oil contains omega 6 fatty acids which stimulate the scalp and hair follicles. Carrots contain vitamin A in the form of beta-carotene. Vitamin A is essential for tissue growth in the body. Vitamin A in carrot juice plays a major role in skin care. Cucumbers have the ability to quickly, safely and easily help reduce the appearance of dark circles.
|
Phalon se Jild ki Hifazat |
Haseen aur khobsurat nazar aana har aurat ki fitrat mein shamil hai. Husn mein sb se ahum drjah chehre ko dia jata hai. Is liye is ki mumkina dekh bhal aur hifazat khawateen ki trjihaat mein shamil hoti hain. Vo ise nikhar ne, snwarne aur husn mein mazeed izafah kay liye mukhtalif tadabeer aur totkay aazmati hain. Is kay sath sath ab jild ko tabnak banane kay liye menhgay lotion aur cream kay istemaal ka rujhan bhi barhta jaraha hai. lekin baaz auqaat in menhgi cream aur lotion se bhi jild par khatir kha nikhar ujagar nahi hota.
Chehre ki shaguftgi aur tazgi kay liye zaroori hai kay hum aisa tariqa kar apnayein jis se khoobsurti, wqti asar dikha kar zail na ho balkeh barqarar rahe aur aisi khoobsurti hum qudrati ajza se ba aasani hasil kar skte hain. Lehaza hum aap ko batate hain keh kis tarah mukhtalif ajza kay istemaal se husn mein izafa kar kay apne chehre ko dilkashi se humkinar kar skti hain. Apple Yeh missal mash’hoor hai keh rozana aik apple ka istemaal doctor se door rakhta hai. Qudrat ne is phal mein be panah fawaid poshida kar rakhe hain. Khane kay elawa degar andaz se bhi is ka istemaal mufeed sabit hota hai. Jaisa keh agar saib ko pees kar 10- 15 minute kay liye chehre par lagayein aur baad mein thande pani se chehre dho lein to jild khil uthti hai. Hath pairon ki jild agar khurduri aur be ronaq hai to saib kay chilkon ko in par malein, hath pair narm aur chamakdar ho jayein gay. Caster oil Balon ki nigehdash mein yeh ahmiyat ka hamil hai. Balon mein achi tarah castor oil se masaj karein phir garam pani se towel ko gila kar kay kuch der kay liye sar par lapeit lein. Is tarah oil jaron mein sariyat kar jaye ga aur baal mzboot , ghane karne mtloob ho to bhi is se istefada kar skti hain. Carrot Vitamin A carrot ka ahum juz hota hai. ise kacha khana ya juice nikal kar pina donon hi surtein sehat kay liye faida mand hain. Nahane se qabal agar carrot kay juice kay sath doodh ya zer istemaal cream ko bahum mila kar jild par lagayein to jild shaguftah aur narm o mulaim ho jaye gi. Ankhon ki sujan door karne kay liye doodh aur carrot ka paste fori asar dikhata hai. Khira Khire ka baqaida istemaal jild ko saaf shaffaf aur daagh dhabbon ko door karta hai. Khire ko kaddu kash kar kay is mein thora sa doodh milayein aur yeh aameza chehre par lagayein, murjhayi huyi jild tar o taza ho jaye gi. Chikni jild ki hamil khawateen khire ko chote tukron mein kaat kar chehre par ragrein. Is tarah jild ka sara mail kuchail saaf ho jaye ga. Tea Ankhon ki thakawat door karne kay liye cotton pad ko thandi chaye ki pani mein bhigo kar ise ankhon par rakhein, bhari pn aur thakan kay aasar ghaib ho jayein gay. Podina Is ki taseer thandi ho ti hai. Yeh dagh dhabbon ko door kar kay chikni jild ko tar o taza kar deta hai. Yeh jild par tonic ki tarah kaam karta hai aur garden par is kay juice ka istemaal huns mein izafe ka bais sabit hota hai. Dahi Dahi, doodh ka istemaal khawateen kay liye zaroori samjha jata hai. Yeh apne andar ghizaiyat ka khazana liye huye hai lehaza in se bhar poor faida uthayein. Dahi ko qudrati cleanser bhi kaha ja skta hai. Dahi se cleansing karne se jild saaf aur chehre shadab ho jata hai. Strawberry Aik muthi bhar kar strawberry chote chote tukron mein kaat kar blander mein dalein is mein aik lemon ka rus aur adha cup dahi ya pani zer istemaal face cream ko shamil kar kay balander kar lein aur aadhe ghante kay liye refrigerator mein rakh dein. Thanda hone par ise apne chehre aur garden par lagayein. Jb yeh sukhta hua mehsoos ho to dobarah is ki the lagayein. Tqreeban 20 minute kay baad halke hathon se ragar kar panni se chehre dho lein. Qudrati nikhar se khoobsurti do chand ho jaye gi. |
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Benifit's of Fruits for Skin(in urdu)”
Post a Comment