Benefit of Lemon
Do you like this story?
Lemon ke Faide: |
Nojawan kehelwana yaqinan har aurat ka fitri haq hai. Wo khood ko hamesha jawan hi dekhna psand karti hai. Agar aap bhi yeh khahish rakhti hain to mandarjah zel tariqon ko aazmayein.
Apni jild key liye sope key bajaye cleansing aur beghair chiknayi wali moisture istemaal karein. Make up kam se kam istemaal karein. Kiun keh ziadah make up aap ki umer ko aap key chehre par zahir karde ga. Aisi make up steak istemaal kijye jo aap key chehre ko chamakdar bana de. Har subha aankhon key niche jell istemaal kijye jo aap ki aankhon key niche ki soojan ko kam karne mein madad deta hai. Yeh aankhon ki soojan aur jhurriyan hi hoti hain jo aap ko umer se do guna zahir karti hain. Siyah Baazoyon se Nijat Mumkin Hai: Mosam garma mein amuman half sleves ki shirt pehanne ke bais baazo aur kehniyan (elbow) black par jati hain jo keh dekhne mein nagawar malum hoti hain. Hum aap ko aik aisi tarkeeb bata rahe hain jis par amal pera ho kar aap apne baazoyon ko bad rung hone se bacha sakti hain. Lemon to har ghar mein istemaal ho ta hai. Is key chilke ko kehniyon (elbow) aur bazoyon par rozanah malein. Is noskhe par amal pera hone key liye aap ko apni masroof zindagi mein se chand minute nikal ne ki bhi zaroorat nahi hai balkeh aap TV dekhte waqt phone par baat karte huye ya news paper parhte huye bhi yeh amal ba aasani kar sakti hain. Chand hi dinon mein aap mehsoos karein gi keh dhoop mein julsi huyi jild dobarah apni asli halat mein aajey gi. Baalon ki khushki: Baalon ki khushki khatam karne key liye aik once tazah lemon key ras mein 2tsp bhar pisi huyi sugar mila kar pest taiyar kar liye. Balon mein 5 minute tak achi tarah kangha (comb) karne key baad is pest ko balon ki jaron mein finger key poron ki madad se nehayat narmi key sath khopri par masaj karein. Aadhe ghante baad sar sirf pani se dho lein. Haftah mein do bar key amal se sar ki khushki se nijat mil jaye gi. Bal bhi mazboot aur chakamdar ho jayein gay. Chehre par baal: Chehre par baal door karne key liye aik 1 tbsp khashkhas pees ker safoof bana lein. Kele (banana) chehre aur hath par jahan baal hon is ko fingers key poron se nehayat aahistagi key sath masaj karein. Rozanah ke bila nagha istemaal se aap key chehre aur hath key na psand-dida baal utar jayein gay. Hont(lips): Honton ki khoobsurti aap ki poori shakhsiyat ki taamir mein kaledi kirdar ada karti hai. In se insani sehat ka andazah bhi lagaya jata hai kiun keh kharabi sehat honton par buri tarah asar andaz hoti hai. Honton ka black hona daagh dhabbe parna aur in par jhurriyon ka namoodar hona ap ki shakhsiyat key sehar ko noqsan puncha sakta hai. In ka husn hameshah bar qarar rakhne key liye galsreen ya vesilin ka mosalsal istemaal karein. Honton ki rungat behtar karne key liye rozanah raat sote waqt in par tazah balayi lagane. Is se honton ki narmi o shadabi bar qarar rahe gi. Jild Narm o Molaim Karne Key Liye: Balayi mein chand qatre lemon key ras key mila kar din mein kisi waqt bhi chehre par lagayein. 5-8 minute baad thande Pani Se face dho lein. Aap ki jild narm o molaim ho jaye gi. Yeh sirf khushk jild ki hamil khawateen mahine mein do bar karein. Shehad ka Istemaal Jild key Liye: Hasb e zaroorat honey ko jild par mal kar 10 minute liye chor dein. Ab pehle neem garam Pani Aur phir thande pani se munh dho lein. Is se chehre par aik halki zafrani jhlak dhekhayi dene lagti hai. Honey ko rozanah neem garam pani mein mila kar pina bhi mofeed hai. Balayi mein thora sa asli shehad (honey) mila kar chehre ka masaj karna bhi jild ko molaim bana ta hai. Khalis shehad aur castor oil donon hum wazan kisi bottle mein mila kar rakh lein, raat ko sote waqt palkon par lagayein. Buhat jald palkein lambi ho jayein gi. Andey ki Sufaidi: Chikni jild wali khawateen aik ande ki sufaidi ko pheint kar is mein 1 spoon shehad, 1 spoon glasreen aur ½ sp besan daal kar aachi tarah mila lein. Is pest ko chere, hath per aur jism par lagayein. Aur phir ubtan ki tarah ragar kar saaf kar lein. Yad rakhein keh aik waqt mein sirf aik jazoo par lep lagayein aur aameze ko sookhne se qabal hi ragar kar saaf kar lein. Besan: Besan mein doodh, chand qatre lemon ka rus aur haldi ( aik chunki) mila kar chehre par lep karein. Khushk hone par Pani Mila kar 10 minute tak chere aur garden par is ka lep karein. Phir munch dho lein. Skin Toon ko Yaksan Rakhein: Foundation ko aik gile sponge ki madad se lagayien. Is tarah foundation yaksan rahe gi. Nose aur lips ke atraf mein ahtiyat ke sath baland karein. Foundation ko aankhon ke papoton ke oper lagana acha rehta hai. Is tarh eye shadow der tak bar qarar rehta hai. Aankhon ko rung karein: Apni eye brows se aaghaz karein. Inhein saaf suthra banana key liye tweezers istemaal karein. Agar blue shedow ko sufaid eye shadow ke sath baland karein gay to is shedow ki rungat halki ho jaye gi. Jaise aap bhat ziadah dark samajh rahi hain. Cheek Makeup: Kia aap ko ilm nahi keh blusher ki tarah istemaal kia jata hai. Smile karein takeh aap ke cheek ubhar aayein. Cheek ke in ubhar par blusher lagayein. Is tarah aap be had sehat mand dekhayi dein gi. Lekin ise bland kar lein takeh blusher qudrati (natural) dikhayi de. Kia aap ko Lipsteak Psand Nahi? Agar aisa hai to aap lip gloss aazmayein. Aap natural clours, light brown aur pink istemaal karein. Ya phir be rungi lip gloos istemaal karein. Is tarah aap ke lips ka qudrati rung apne bhar poor andaz mein ubhar aaye ga. Rungat Nikharein: Kia aap janti hain keh fresh milk se motwatir chand din face dhone se rungat nikhar aati hai. Rozanah milk mein honey mila kar pina bachon baron sab key liye be had faidah mand hai. Aksar larkiyon ki aankhon ke gird siyah halke (black circle) par jata hain. Jo keh deikhne mein bad numa dekhayi dete hain. Agar kache doodh ki jhag ko aankhon key oper niche laga kar aadha ghantah chor dein. Aur aur rozanah yeh amal karein to qudray afaqah hoga. Aankhon ko aadhe ghante baad pani se dho lein. Milk ki balayi mein thora sa namak mila kar honton par malne se honton ki syahi door ho jati hai aur chehre par dane hon to aate ki bhusi mein dhoodh mila kar layi ki aur chehre par lep karein. Aadhe ghante baad munh dholein. Jhaiyon par milk ki jhag lagana behtareen hai. Mahason key liye kacha doodh lagana mofeed hai. Lemon ke Faide:Chehre ki jild ki shiknein door karne key liye din mein do martabah tazah arq lemon cotton ki madad se lagayein. Chehre ko sakit rakhein. Aadhe ghante baad munh dho lein. Rungat nikharne key liye lemon, zaafran aur roghan zaafran mila kar chehre par lagayein. Kuch der baad munh dho lein. Balon ki sehat key liye mehdi mein lemon ka arq mila kar lagayein. Baal mazboot aur ghane ho jayein gay. Anday ki sufaidi mein lemon ka arq mila kar is aameze ko neck par lagayein aur 15 minutes se 20 minutes laga rehne dein. Baad mein thande pani se neck dho lein. Dhoop ki wajah say neck par jo black shed aajati hai, khatam ho jaye gi. Lemon key chilkon ko honton par ragar ne se honton ki siyahi door ho jati hai. Jhilkon ko kehniyon, hathon aur chehron par ragarna bhi mofeed hai. |
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Benefit of Lemon”
Post a Comment