Acne Care Tips Urdu

There are two reason of acne. First is oily skin and Second neglect of proper care. Normally acne showed in oily skin very much. The best way to prevent acne is cleansing. Skin should be clean. You should wash your face two or three times a day. Cosmetics should abandon such that oil base should instead use water-based cosmetics. Should wash face make up at night. In this page you can read keel muhasay causes and treatment in Urdu, skin care in urdu, jild ki hifazat in urdu.
 

Keel Muhase ka Ilaj:

Amooman larakpan se jawani ki dehleez par qadam rakhte hi larkiyon ko sab se pehle jis mosibat ka samna karna parta hai woh hain keel muhase. Inhain English mein pimples, acne bhi kaha jata hai aur yeh larkiyon ko pareshan karne key liye kafi hote hain. Inhein yeh khof lahaq rehta hai kehin aisa nah ho keh in mahason ki wajah se chehre ki khoobsurat aur sadabi mein farq aajaye. Koi bhi larki yeh kabhi nahi chahti keh is key chehre par bad numa daagh hon. Is zaman mein pareshan hone ki qatyi zaroorat nahi. Yahan hum aap key liye chand aisi hidayat paish kar rahein hain jin par amal kar key aap apne chehre ko keel mahasay se nijat dila sakti hain aur yun aap ki khoobsurti mein koi farq nahi aaye ga.
Wajuhaat:

Jo khawateen ibtedayi umer mein jild ko nazar andaz karti hain woh amooman baqi umer pachtawon key sath guzarti hain kiun keh jawan umri mein gair motwazan ghiza aur jismani warzishon se gureiz na sirf jild ki kharabi ka bais banta hai balkeh dhalti umer key sath joron key dard ka sabab bhi banta hai.

Khushk hawa jild ki kharabi ki aik aur bari wajah hai. Yeh aap ki jild ko khushk aur be ronaq kar deti hai aur agar aap fori tor par pani ka istemaal nahi barhayein gi to yeh aap ki jild ki sari taro tazgi cheen le gi. Khushk hawa sirf chehre ki jild ko hi mutasir nahi karti balkeh is se sara jism mutasir hota hai. Tamam jild kheinchi huyi mehsoos hoti hai aur agar ahtiyati tadabeer ikhtiyar na ki jayein to jild khushki aur jhurriyon ka shikar ho jati hai aur yahi khushki phir balon key girne aur dane phunsiyon ka bhi sabab banti hai. Pani ka kam istemaal is ki bunyadi wajah hai.

Keel muhase key do wajoohat hote hain, awal jild ki chiknahat aur dom munasib dekh bhal se ghaflat. Aam tor par chikni jild par ziadah dane nikalte hain. Agar aap ki ghiza mein masalhe, roghanyat aur chiknayi ziadah moqdar mein shamil hon gi to is se bhi jild par dane nikal aayein gay. Keel muhason se chutkare key liye sab se mowassar ilaj cleasing hai.

Jild par aik ghadood paya jata hai jise sebaceous kehte hain. Is se aik roghan seem kharij hota hai. Yeh qudrati moisturizer hota hai. In key irtekaz ki hi wajah se jild mein sozish hoti hai aur yeh keel mahason ki shakal mein zahir hote hain.

Balighon mein keel muhase namoodar hote hain to 90% aise afrad hote hain jinhein awail nojawani mein yeh arzah lahaq ho chukka hota hai jabkeh 8% aise hote hain jinhein pehli martabah 20 ki dahayi key aakhir mein in ka tajurbah hota hai. Aik tehqeeq se pata chala hai keh balighon ko agar yeh ho to woh ziadah sangeen nahi hota . Teen ages key keel muhasay ziadah shadeed noiyat key hote hain. Takher se ya baloghat key baad keel muhase is wajah se namoodar hote hain keh baaz awqaat hormons ki tabdilyon ka reaction der se hota hai. Yeh woh log hote hain jin mein yeh takleef ghafwan shabab mein ronuma hone se rah jati hai. Phir baloghat ki umer mein zahir hoti hai. Is ki motaddid wajah hain. Aksar aoqaat morasi awamil ka amal dakhal hota hai. Agar aap key parents mein se kisi ko teen ages mein yeh takleef nahi huyi aur baloghat key baad is se wastah para to imkan hai keh aap key sath bhi yahi hoga. Is tarah baaz auraton ko ayam key mukhtalif marahil mein keel muahson ka samna hota hai. Aksar awqaat ayam key aaghaz se foran qabal ya dorane hamal aisa hota hai. Zaroorat se ziadah balon ka sabab banta hai. Is ki wajah se ayam ki be qaidgi bhi lahaq hoti hai.

Ilaj:

Wajah koi bhi ho jab keel muhase baloghat key baad aur pokhtah umer mein zahir hote hain to ziadah pareshan kun ban jate hain kiun keh is umer mein keel muhason ki tawaqah koi nahi karta. Phir shadi ya peshah waranah zindagi bhi dar pesh hoti hai. Lehaza pokhtah umr ki auraton ko in se ziadah pareshani lahaq hoti hai. In ka koi aik fori jaduyi ilaj to mumkin nahi hai albattah mahereen mutaddid iqdamat batate hain jinhein ikhtiar kar key in se nijat hasil karna ya in ki shiddat mein kami karna mumkin hota hai.

Oil ya roghan is masle ko barhane ka sabab hain.

Jild ko saaf rakhna chahiye. Chehre ko din mein do teen martabah dhona chahiye.

Aisi cosmetic ka istemaal tark kar dena chahiye jo oil base hon in ki jagha water base make up istemaal karne chahiye.

Raat ko make up zaroor utar dena chahiye.

Chehre ko sirf dhona hi kafi nahi, is maqsad key liye banayi jane wali cream aur jelly wagirah ka isemaal bhi zaroori hota hai. Aam tor par benzoyl peroxide, retinoic acid, antibiotic lotion aur sulphur cream ilaj key liye istemaal hoti hai woh masnuaat jin mein to trioil hota hai mufeed sabit hoti hain in se becteria ki paidaish mein kami waqai hoti hai.

0 Responses to “Acne Care Tips Urdu”

Post a Comment

All Rights Reserved Health and Beauty