About Shakhsiyat


Shakhsiyat ki takmeel mein jahan khoosh lebasi, shakal-o-surat make up ehmiyat rakhta hai wahan apni zaat par mukamal ehtemaad .. apka rehan-sehan aur khoosh goftari b ek aham hisa hai kion k yehi saab cheezien mil kar apko ko ek mukamal aur barpoor shakhsiyat ka roop deti hain .. laikin in baton se bohat kam log waqif hain. Har insaan ki rozmara ki masroofiyat aur adaat iss ki shakhsiyat par asar andaz hoti hain .. kion k bohat sii adaat asi hoti hain jo zindagi ko nikharti aur sanwarti hain. 

Misal k tor par sach bolne ki adat, saaf suthra rehna, har kam waqat par karne ki adataur raat ko jald sona subah ko jald othna. Yeh achi adaat insaan ki shakhsiyat aur iss k mahool par khoosh-gawar asraat murtab karti hain. iss k baraks kuch adaat asi hoti hain jo insaan lashaori tor par apna leta hai. Isay ehsaan nahi hota k ye adtien buri hain. Jaise iss k sth rehne wale ya iss k dost-o-ehbaab iss ki in adaat ki waja se iss se kutrane lagte hain.

Apni Shakhsiyat ko nikharne k liye zarori hai k jahan app khoosh goftari k fun se waqif hon wahan apko mehfil mein baithne k adaab b maloom hoon. In baton k liye zarori hai

1. App samne baithy shakhs k mazaaj ko pehchante hoon.
2. Apne madey-mukabil se iss tarhaan baat karien k wo app ki majodgi mein bore na ho.
3. App sirf khood na bolte rahien balke osse b bolne ka moqa dien.

Yani kisi ko mutasir karne k liye zaroori hai k goftago karte waqat awaz demi rakhi jaye k samne baitha hova shakhs apki baat ko asani se sun aur samaj sake aur apne lehjay mein narmi rakhni chahiye.

Mehfil mein baith kar zor zor se bolna, bohat zaida ankhien chalana ya apne hath paon ko harkat detay rehna b adaab-e-mehfil k khalaaf hai jo apki shakhsiyat par buray asraat dalta hai. Apki thori si tawajo aur koshish se apka apni zaat par etemaad bahaal kar sakti hai. Zarori nahi k kimti lebas ya zaiwar aur make up insaan ko munfarid aur kabil-e-tawajo banata hai balke apka etemaad apki shakhsiyat ka aham tareen ansar hai.

Ye baat yaad rakhien k kisi b mehfil mein khood ko numaya karne k liye satiih harkatien kabi acha tasur nahi pesh kartien. Dosron ko ehmiyat day kar apna manwana hi aqal mandi hai.
_________________________________________________________________________________

Like us on Facebook : Health and Beauty

0 Responses to “About Shakhsiyat”

Post a Comment

All Rights Reserved Health and Beauty