Whitish Complexion
Do you like this story?
Gandumi Rungat: |
Gehri rungut is say buhat theek hai keh who mosam waghairah say buhat kam motasir hoti hai. Is liye zardi mail rungat kay moqablay mein is ki ratoobat waghairah mehfooz rehti hai.
Is ki wajah yeh hai keh is qisam ki jild ki chaal moti hoti hai is liye sanwi rungat kay cheray par burhapa der say aata hai albattah khushk sard mosam mein chehra matyala ho jata hai. Is surat mein soap kay bajaye cleansing cream say chehrah saf karna behtar hai. Nez aisi foundation istemaal karein jis mein halka sa moisture mojood ho. Agar aap ki jald chikni hai to foundation kay baad powder lagayain hameshah jald ki rungut say miltay huye rung ki foundation aur translucent powder istemaal karein. Eyes: Aap kabhi chamak dar aur zardi mail eye sheds istemaal na karein. Kiun keh is ki rungut ki apni chamak hoti hai. Eye lays ya kajal say aankhon ka khat banayein aur maskaray ki madad say palkein ghani karein. Eye brow: Black pencil say chotay chotay shosay laga kar eye brow bharein. Lips: Lips stick say gehray shed ki lip pencil say hoton ka khakah banayein khakay ko bharnay kay liye kabhi ka sunny ya jamni sheds ki lips stick nah lagayein. Sanwi rungut kay liye lip stick kay shed yeh hain. 1 Coral color 2 Peach aur surkhi mail brown 3 Avocado color |
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Whitish Complexion”
Post a Comment