Weight Loss Tips in Home
Do you like this story?
Wazan kam Karne k Totkay in Urdu: | ||
Sab se pehli cheez to yeh yaad rakhein keh aap ne din bhar mein jitni bhi ziadah calories wali cheezen khana hain, inhein din ke pehle aadhe hisse mein khalein kiun keh dopehar tak insane chust hota hai aur dor dhoop bhi karta rehta hai jab keh sham ke baad jism sust hone lagta hai aur nisbatan kam kaam karta hai. lehaza mornig ko khayi huyi khorak ko jism jaldi jalata bhi rehata hai is tarah who kum charbi mein muntaqil ho pati hai.
Wazan ko control mein rekhne ke liye aik totka yeh bhi hai keh aahistah khaya jaye . Nawale ko khub chiba chiba kar khaya jaye takeh bhuk ki tasalli bhi hoti rahe aur kam se kam khorak jism mein jaye. Is mein 20 minute lagte hain. Dimagh meday ko yeh alarum deta hai keh who full ho chukka hai. jab keh in 20 minutes mein hum kis qadar mazeed khorak andar dhakel chuke hote hai. Garam khorak aap ki bhuk ki ziadti tasalli karti hai nisbatan thandi. Garam doodh ka aik glaas aap ki ziadah tasalli karta hai jab keh thande doodh ya mashroob pine se pait bhara hua nahi mahsus hota hai. Khana khane baithne se pehle aik glass pani pine se bhi nisbatan kam khana khaya jata hai aur han khawateen ko dieting program ain haiz shoro hone se chand roz qabal nahi shoro karna chahiye kiun keh is zamane mein in ki quwat iradi bilkul kamzor ho chuki hai. Lehaza yeh program do char roz mein hi khatam ho jaye ga. Jab dieting shoro karein to ghar mein wafir moqdar mein chibane wali sabziyan rakhein. Jab bhuk lage to carrot, radish (muli), bundh gobhi, ya aisi dusri sabziyan khayain. Dieting ke zamane mein khushk mewah jat ki taraf dekhein bhi na kiun keh aik bar in ko khana shoro kar dein to phir hath rokna mushkil ho jata hai. Wazan ko control karne ke liye apne khano mein namak(salt) ki moqdar buhat kam kar dein kiun keh namak jism mein pani ko jama rakhne mein madad deta hai. Is tarah jism ka pani kam kharij hota hai aur wazan mein kami bhi buhat surst rawi se hoti hai. |
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Weight Loss Tips in Home”
Post a Comment