Egg Benefit for Health and Beauty

Benefits of Egg in Urdu:

Eggs qudrat ka sar band aisa fast food hain jin ki tiyari mein sirf 3-4 minute sarf hote hain lekin in ki ghizayi khoobyan be shumar faide hain buhat kam cheezen apni ghizayi afadyut mein andon ka moqabla kar sakti hain.

Andon mein tawanayi ka zakhira poshida hota hai kiun keh is mein taqreeban tamam wo ghizayi ajza paye jate hain jo insani jism ke liye zaroori hain.

1. Anday (Eggs) ki zardi aur sufaidi dono hi besh qimat ghizayi ajza ka majmooa hoti hain, is mein mojood vitamin A aankhon ke liye zaroori hota hai yeh nazar ko kamzor hone se bachata hai aur basarat ko taqweeyat deta hai
egg benefits in urud
2. Is ke elawa anday mein mojood vitamin D haddiyon aur danton ki nasho numa mein ahum kirdar ada karta hai is liye barhte huye bahcon ki ghiza mein andah zaroor shamil karna chahiye kiun keh yeh rickets aur osteoporosis jaisi bimaaryon se bhi bachata hai.

3. Andon mein mojood vitamin B12 dil ko taqweyat deta hai aur khoon garha hone se rokta hai pehle yeh samjha jata tha keh anday cholesterol barhte hain magar jaded tehqeeq ne yeh sabit kia hai keh andon mein omega 3 mojood hota hai jo cholesterol se paida hone wali dil ki takaleef ko rokne mein mawin sabit hota hai.

4. Anday ki sufaidi calcium hasil karne ka behtareen zariiyah hai.

5. Andon ki protein dimagh aur pathon ko taqwiyat deti hai is liye hamlah khawateen ko bhi doctor anday ke istemaal ka mashwara dete hain takeh bache ko tamam zaroori ghizayi ijza farahum hon.
6. Anday mein mojood zinc jism ki quwat madafyat barhata hai aur bimaaryon ke khelaf tahaffuz farahum karta hai.

7. Is mein mojood vitamin E behtareen Anti oxidant hai aur mukhtalif aqsaam ke cancer se jism ko bachata hai.

8. Is mein mojood selenium baalon ki nasho numa karta hai.

9. Anday ka baaqaida istemaal umer barhne ke sath janam lene wali buhat si bimaariyon se bachata hai.

Gharz insani jism mein quwat e hayat, jismani taqat aur zehni taqat ki tamer mein anda nehayat ahum kirdar ada karta hai. Yeh garam joshi aur tawanayi ki takhliq karta hai is liye apni roz marrah ki khoorak mein anday ko zaroor shamil rakhein kiun keh yeh aap ki jismani sehat ke liye bahut zaroori hai magar aik din mein sirf aik andah khayein to behtar hai kiun keh yeh khoon mein garmi aur hiddat bhi paida karta hai aur anday ka ziadah istemaal blood pressure jaise masail ko janam de sakta hai magar aik anda roz khana mufeed hai. Aap anday ko kisi bhi surat mein khayein is ki afadyat mein kami nahi aati. Aaj kal anday khas qisam ki vaccine ki taiyari mein bhi istemaal hote hain.

0 Responses to “Egg Benefit for Health and Beauty”

Post a Comment

All Rights Reserved Health and Beauty