Care of Skin(in urdu)
Do you like this story?
Jild ki hifazat kay silsilay mein mask ka istemaal aaj kal agarche aam hai tahum koi inqilab angaiz tasawar nahi hai jisay hum mazi kay dhud lakon mein talash na kar sakain. Mumkinah tor par mask kisi nah kisi shakal mein sadyon say istemaal hotay chalay aaye hain.
Mask kay mojood fashion kay ibtidayi dinon mein buhat kam verities mein dastiyab hotay tahay magar ab in ka hosool koi maslah nahi raha. Market mein in say bharay paray hain khaas tor par maghrabi mumalik mein tarah tarah kay mask baa aasani mil jatay hain ab asal maslah mask hai. Business point say mask kay istemaal say cheray ki dilkashi mein izafah kay baray mein propaganda kay dhang say publicity ki jarahi hai tahum haqeeqat yeh hai keh chehray kay mask koi jadooyi cheez nahi hain keh palak jhapaktay mein cheray ko dilkashi say humkinar kar dain.
Is ka bunyadi istemaal cheray ki jild mein dakhil ho janay walay mitti aur dhool kay zarrat ko nikaal phainkta hai. Ziadah ahmiyat is baat ki hai keh yeh cheray ki jild ko mazeed khenchao day aur is mein dilkashi paida karay.

Aam tor par mask khushgawar mehak rakhtay hain in kay istemaal say cheray ki jild mein paray huye murder khalye mit jatay hain aur jild saaf ho jati hai. Cosmetic buhat tezi say maqbulyat haisil karta hai magar yeh baat bhi zehan mein rakhay janay kay qaabil hai keh mask ki madad say chehray ki dilkashi bar qarar rakhi ja sakti hai. is ki nojawani ko wapis nahi laya ja sakta.
Mask kay istemaal ka bara faidah yeh hai keh in ki madad say jild khurchay beghair fazil khulayaat ko door kia ja sakta hai aur yun chehray ki dilkashi ko barqarar rakhnay mein in ki madad say in masam ko band kia ja sakta hai. jo chehray mein ghair zaruri ratoobat paida kartay hain. Jhurriyon ko kam karnay ya ghair numayan karnay mein bhi mask ahum kirdar ada kartay hain. Ragar ragar kar saaf karnay walon kay liye mask aik aasan rastah hai.

Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Care of Skin(in urdu)”
Post a Comment