Benefit of Olive Oil for Beauty
Do you like this story?
Roghan-e-Zaitoon ke Faide: |
Olive oil aur almond oil se yani honton par in roghanon ka halka sa masaj karne se honton mein dilkash aati hai.
Milk aur eggs baalon ko taqat dene ke liye behtareen cheez hai. Is ke sath rozanah raat ko olive oil ki malish bhi kar dia karein. Phir baal bilkul na girein gey. Is se baalon mein payedari aati hai. mazbut hote hain. Chehre ki rungut nikharne ke liye lemon ka rus aur shehad ka ½ spoon aur arq-e-gholab ka murak’kab bana kar is ko raat ke waqt chehre par lagayain.
Chehre ki sanoli rungut ko nikharne ke liye bleach cream ke sath roghan-e-zaitoon (olive oil) istemaal karein. Is ke elawah aik formula yeh bhi hai keh aik din shehad mein lemon ka rus nichor kar chehre par mask karein aur dusre din olive oil ka masaj karein yeh amal 1 month jari rakhein. Sanoli rungut mein sabahat paida ho jaye gi. Sanola rung gora ho jaye ga. Yaani raat mein ujala.
Baaz young boys ko 20 saal ki umer mein bhi darhi (beard) ke baal nahi nikalte. Yeh is baat ki alaamat hai keh in mein afrazi madon yani hormones ki kami hai jis ka moqami ilaaj yeh hai keh rogan-e-zaitoon mein roghan-e-hina mila kar rozanah chehre ka masaj kia karein aur is ke sath ghiza mein maghaz ka istemaal karein. Magaz mein aik chemical maadda colon paya jata hai jo keh baalon ko afzaish ke liye mufeed tar hai. Baaz masturat ke chehre par ruyain(baal) hote hain jin se chehra zanana nahi mardana maalum hota hai. Aurat mard maalum hoti hai. Is ki naswanyat mashkuk nazar aati hai. Is ke liye aaj kal cosmetic therapy mein kayi formula nikal aaye hain lekin is ke liye aik bara hi mowassar qudrati formula yeh hai keh wax yani mom aur zaitoon ke oil ka ameza taiyar karein. Yeh baalon ke liye faidah mand hai. hafte mein do bar wax aur zaitoon ke oil ka aamezah se masaj karein. Baal dur ho jayein gi. Lips ki khushki dur karne ke liye rozana in par roghan badam malna faida mand hai. chand hi roz mein khushki dur ho jaye gi. Sardiyon ke mosam mein aksar khawateen ke hont phat jate hain in par rozanah raat ke waqt badam roghan lagayain. Chechak ke daaghon ko dur karne ke liye markolaiz wax mein zara sa badam roghan mila kar is aameze ka chehre par masaj karein. Owwal to chehre ke daagh dur ho jayain ge aur agar aisa na ho to khase madhum ho jayain gay. |
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Benefit of Olive Oil for Beauty”
Post a Comment