Beauty Tips

Beauty Tips for Skin in Urdu:

Koi bhi shakhs jo ghar baithay khoobsurat skin chahta hai mandarjah zel formula faida mand hai.
8 mukhtalif home beauty tips mandarja zeel hain jis par amal kar kay aap apni skin ko glowing skin(khoobsurat skin) bana saktay hain.
1-Egg white aur shehad(honey) kay mask jo ke aap kay face kay khechao ko door karta hai.

2-Cucumber qudrati cleanser hai. Doodh mein Cucumber jouice milayein aur face par 15 minute kay liye laga rehnay dein. Is kay baad dho lein.
3-Oily skin kay liye grapes, lemon juice aur egg white kay mixture ko face par lagayein. 20 minute kay liye isay chor nay kay baad neem garam pani say dho lain. Lemon natural clenser kay tor par, grapes aap kay jild ko soft aur egg white jild ko tight karnay mein madad farahum karta hai.

4-Lemon katain aur isay apnay chehray par rub karein. Isay 20 minutes kay liye chor dein is kay baad thanday(cold) pani say dho lein. Agar aap ki skin dry hain to yeh amal na karein.
5-Honey aur milk ka mixture banayein aur face par lagayein. Aap ki skin chakmakdar ho jaye gi.
6-Body kay skin ko molaim karnay kay liye. podina aur almonds ka paste banayein aur jisam par lagayein aur isay dry honay tak chor dein is kay baad neem garam pani say dho lein soft aur smooth skin ho jaye gi.

7-Doodh aur butter ka mix 15 minute kay liye skin par laga rehnay dein yeh skin ko khushk kiye be ghair tamam oil khushk kar lega.

8-Jild ko tar-o-taza rakhnay kay liye 1 banana rozanah skin par lagayein jild khoobsurat ho jaye gi.

0 Responses to “Beauty Tips”

Post a Comment

All Rights Reserved Health and Beauty