Beauty Tips for 40 Year Old Women
Do you like this story?
Beauty Tips for Women in Urdu: |
Khawateen kay sath sath mardon ko bhi umer kay shauri ahsaas-o-adrak kay khelaf baqaida jung karni chahiye. Jaisay jaisay umer barhti hai to hum foran is baat ko qabool kar letay hain keh ab hamein khood ko thaka hua mehsoos kar na chahiye. Hamaray khad-o-khal bad numa nazar aanya chahiye. Hamara wazan barh jana chahiye aur jism ki phurti-o-chusti bhi kam honi chahiye. Hum jism say jin baton ki tawaqah kartay hain wo wahi kuch karta hai. Hamara jism hamari sonch kay taba hai. Aap kay josh walwalay dam tortay hain ya hoslay mad’dhim parnay lagtay hain to aap kay aasab bhi dhilay par jatah hain. 40 saal say ziadah umer wali aurat ko har saal apna tibbi muainah karana chahiye takeh is baat ko yaqini bana ya ja sakay keh kahin woh khoon ki kami ka shikar to nahi. Is ka blood pressure normal hai. Aglay marhalay mein apnay roz marah kay maamul par nazar dalye aur is baat ko yaqini baniye keh aap ko aram aur sakoon ki liye khasa waqt mil sakay. Agar aap mulazmat peshah khatoon hain to bhi aaram key liye waqt nikalye. Raat ka khana taiyar karnay say pelay aadha ghantah aaram karein. Sham ko ya raat ko party mein janay say pehlay bhi aaram karna buhat zaroori hai kiun keh pur sakoon aasab kay liye aaram zaroori hai. Husn ka aik mahafiz ghusal bhi hai jo jism kay masam khol deta hai aur inhain is baat ki ijazat deta hai keh woh jism mein jaa fasid kharij karday. Is liye apnay jism ki tawazah ghusal (bath) say karein. Apnay wazan kay sath sath apnay jism ki paimaish ko bhi check karein. Aap ka jo bhi wazan hai is say 5 pond ziadah wazan nahi barhna chahiye. Lekin is baat ka kheyal rakhain keh aap ka jism mazboot, thos aur jawan rahay. Haftah war masaj ki qudar-o-qimat bhi buhat ziadah hai. Hathon ko narm rakhnay kay liye hathon ki khasusi cream ka baqaidah istemaal inhain chikna aur narm rakhay ga. Castor oil ka masaj jild par parnay walay siyah dhabbon ko door kar deta hai. 40 saal ki umer kay baad apnay pairon(leg) par khasoosi tawajjah dein aur in ki hifazat karein. Agar sufaid baal aap ko udas kar detay hain to inhain rung lein. Yeh rung mustaqil aur neem mustaqil ho saktay hain. Apni jild kay husn ko bar qarar rakhnay kay liye zaroori hai keh aap baqaidgi say is ki cleansing karein. Is ka masaj karein aur is ki hifazat karein. Saal mein aik bar kam say kam make up mein tabdili laiye aur apnay hair stile ko fashion kay mutabiq ikhtiyar kijye. Aakhir mein ghiza ka tazkarah bhi ho jaye. Apni umer kay mutabiq ghiza khayein. Husn ko bar qarar rakhnay kay liye motwazan ghiza aur phal zaroo istemaal karein. Aisi ghizayein aur degar ashya ka istemaal karein jo vitamins aur mineral say bhar poor hon. In mein protein wafer moqdar mein mojood hon. Woh muraghan aur masalah dar na hon is kay elawah tea, coffee aur buhat garam aur buhat thaday aur buhat ziadah pakay huye chat patay khanay hamaray khad-o-khal aur shakal-o-surat par asar daaltay hain. Jitna hum inhain kam istemaal hamaray sehat kay liye faida mand hai. |
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Beauty Tips for 40 Year Old Women”
Post a Comment